Paaki owr Napaaki

Napaaki ko paak karna

Q:

1. Agar kisi ne napaak paani se ghusal kiya to jab wo dobaara ghusal karega to wo kis ihtiyaat se ghusal kare kyunke ab wo pura napaak ho gaya?

2. Agar sabun napak ho jaye to badalna parega ya behte paani me dhole?

3. Agar hum joote ko bheege kapde se ponchle to paak ho jayega ya phir paani se dhona hoga or kya teen baar ponchna zuroori he ya ek do bar ponchle?

Musalla dhone ka tareeqah

Q: Mera sawaal he ke jis cheez ko nichor nahi skate jaise musalla to kya usko lote me paani bhar ke uspe achhi tarah se bhade ayk do baar paak ho jayega ya pir usko teeno baar dhona or teeno baar qatre tipakna band ho jaye is se intizaar karke dhona parega? Aur agar baalti napaak ho jaye to kya usko hath se paani charo taraf daal de or baalti ko hatho se per ke paani se dho lene se paak ho jayegi ya phir poori baalti me paani bhar ke phenkna zuroori he? Or lote ko bhi ayse hi dhole ya usko bhi paani bharke phenkna zuroori he?

Napaak kapre dhowna

Q: Agar peshaab ke kapro ko tub me surf daal kar bhigoya phir wo surf ka paani pheka phir naya paani daal kar kapra bhigoya eyse do baar kiya phir nal ke neeche pani se dhoya phir teen baar nichora paak ho jaega ya nahi? Kisi ne kaha ke wo kapra tub me daalne se naya paani napaak ho jayega. Hum ko treeqa pata nahi tha is liye aysa dhoya ab me kaya karu? Dobaara dhoyu? Me bohot pareshaan hu kapre paak karne ke treeke ke video dekh kar usme alag treeqa he. Baraaye meherbaani jaldi jawaab de.

Napaak jaga ku dhowna

Q: Agar koi shakhs najasat ke haalt me ho chahe wo ihtilaam ya musht zani ki wajh se ho aur us ne napaak kapra pehna ho is haalat me us se paseena aaye ya kapre par paani ghir jaaye kya wo shakhs poore kapre ko dole jo paseena ya paani ki wajh se tar huwa he ya sirf wo napaak jaga jaha pe maani laga huwa he?