Hajj owr Umrah

Bimaari ki wajah se umrah ku chowrna

Q: Merey susar umrah ke liye gaye thy wahan uhon ny aik umrah to kar liya but jab wo doosri dafa umrah ki neeyat se ahram band kar gaye but (un ko urine ki problm hai ) aur un ki tabiyeet kharab ho gai umrah chor kar wapis chaley gaye to kuch log kah rahy hain ke is ka koi kufara ada karna parey ga. Kindly app bta dein karna pary ga ya nhi aur agar karna pary ga to kya aur kitna?

Baal saaf karna

Q: Mai umra pe jaa raha hu. Phir apne bagal ke baal nahi saaf kiya hu qu ke abhi 20 din hi hue hai mujhe saaf kiye hue kya mere umra kubul hoga? Please jald se jald jawaab de.

Ihraam nikalne ke lia sar ka baal machine se mundwaana

Q: Main ne umra ada kiya hai magar sar ka baal machine se mundwaye hain matlab blade istmal nei kiya. Mera first time umra tha. Umra ke baad sar pe blade marwana lazmi hai ya ya machine se bhi sarey baal kta saktey hain. Please tell me ab is ka hal kya hai kuch log kehtey hain ke blade lazmi marwana tha warna umra nei hota mujhe in sab bato ka pta nei tha ab is ka hal kya hai plz tell me.

Hajj ke baare me wasaawis

Q: Me wasaawis ka mariz hu. Mene Hajj kiya alhamdulilah sab arkan ada kiye lekin uske bad se muje ek doubt paresan kar raha he ke Tawaf -E-Ziyarat karte wudhu ya ghusl sahi tarike se kiya hoga ya nahi aur muje yaad bhi nahi he kya aise doubt ki buniyad par muj par koi "DAAM" wajib hoga aur mera hajj sahi hoga aur meri wife mere liye halaal hogi? Please advise me.

Ihraam ki haalat me paijaama pehnna

Q: Ayk Islami bhai umra karne gaye. Meekat par gusal kiya ahram pehna aur bus mein bethkar Makkah ki taraf rawana hua. Kuch door jane ke baad us islami bhai to pata chala ki woh payjama utarna bhool gaya hai. Iss par us ko ahsas hua aur us ne usi wakt woh payjama utar diya. Kiya farmate hain Ulema e Kiram is masaley par ke (1) Us islami bhai ko kiya karna hoga? (2) Aur us ka umra hua ki nahi?