Hajj owr Umrah

Umrah karne ke baghair ihraam utaarna

Q: Mein amny 3 nabaleq bacho ur biwe ka sath umra ka ley ihraam bandah masjid aysha say ur masjid haram aya rath ka time haram ma boht rash tah maray pass well chier thi is per bachy thy mujay security wallon ne undr jane nhi deya mujay un ki batein samaj nahi aai ur ma wapas hotal aagaya kunkay bachy sorahie thy ur mane ahraam utaar dey umra keye bagir.bad ma dobara kuch din bad nye ahram ka sath umra key.mujhe ahram utarne ka dam den ho ga. apna ur bewi ka ur bacho ka?

Mahram ke baghair hajj karna

Q: Kia mahram ke baghair hajj karna (safar jany se wapsi tak) ho skta hy? Aksar log jaty hen kia unka hajj sahi hy? Aksar log farzi or lafzi mahram bana ke hajj pe chaly jaty hen kia iss tarah sahi he? Secondly ayk aisi oorat jis ke pass hajj ki istetahat he lekin uska dunia mein koi mehram na ho to kia wo hajj kary gi agar han to kiss trah?

Baghair mahram Safar-e-Hajj karna

Q: Mere bahi Saudi Arabia mein job krty hen unho ne Hajj ka irada kia or sath meri bhabi k documents bhi jamah krwaye, ke wo wahan se aaye gy or bhabi pakistan se jaye gi or dono hajj krien gy. Mein ne un se kaha ke aap Pakistan aa ke bhabi ke sath jayen q k mehram k bina safar sahi nai to unho ne mahalle ke ayk 80 year buzurg jo hajj pe ja rhy thy un ko bhabi ka mehram bana dia ke ye mamu hen hala ke un buzurg se koi rishta nai. Ab jab ke wo ja chuky hen wahan Saudi Arabia mein bahi ko hajj karny ki ijazat nahi mil rahi. Ab bhabi ka hajj kis tarh ho ga or sahi ho ga ya nahi?

Ma baap ke saat hajj ke lia jaana

Q: Mere walid or walida sahiba hajj parr jana chate hein, wo chate hein ke mera baai bi un ke saath jaae q k mere abu ki sehat kharab ho jati ha lekin mara baai kehta hai ke next year mein ap ke saath jaaoon gha qk uske upar 10,000 euro ka qarz ha. Mufti sahab mera aap se swal ha ke mere bhai ko apne walden ki baat maan kar unke saath haaj par jana chaye ya phir pehle apna qarz utaar ka phir haaj par jaana chahia? Mufti sahab is baat ki waja se ghar mein besakooni ha.