interpretation

Kya khwaab hamesha ta'beer ke mutaabiq hota he?

Q:

1. Agar hum apna khwab kisi ko bole aur usne agar us khwab ki tabeer apne se kahi. (Achi ya buri tabeer) kya phir waisa hi hota hai?

2. Maine rozana apne rishte ke liye Allah se dua karra hi ho, mai ne khwab me mere bhai ke dost ko dekha (mehsoos huwa ke wo hai, magar shakal nai dekhi) bahot sare log muhazzib aur ache kapro me tayyar he aur hum sub khole aasman ke niche he, ek bench hai jis per mai baithi ho aur mere nazdik mere bhai ke dost he, aur hum aasman me do parinde orte huwe dekh rahe (ek bara parinda brown colour ka uske piche chota parinda) hai aur suraj badlo se ghira huwa he, aur mere marhoom abbu dosre room me baithe hai mujhe dekh kar ro rahe hai aur bol rahe he sub kaam tum logo ko akele karna padraha hai, aur mai abbu ko mat ro bolke samjha rahi ho, meharbani karke is khwab ki tabeer bataiye.