Waaris ko apne mutaayan hisse se kum dena
Q: Kiya Allah Pak ne insaan ko itna haq diya he ke wo wirasat me jaise chahe kaam de or jisse chahe ziyaada de?
Q: Kiya Allah Pak ne insaan ko itna haq diya he ke wo wirasat me jaise chahe kaam de or jisse chahe ziyaada de?
Q: Hum 3 bhai aur 2 behne he. Hamare waalid or waalida inteqal kar gayi ha. Hamare 3 ghar he jin me sab bhai apni apni marzi se chale gaye he aur 4 shops he jo mere waalid saheb chor ke gaye he. Mere waalid saheb ki shop he 1 wo rent pe he aur wo mere bare bhai ne aur behno bhi mil ke bare bhai ke naam pe karwa li he. Hum ne kaha bhi he ke ye waalid ki he, is me hamara bhi hissa he. Bari behen ne kaha ke aap ka bara bhai aap ke baap ki jaga he wo hissa de ga. Hum ne bari behen ki kehne pe us ke naam pe kar di.
Aaj 12 saal ka arsa guzar gaya he. Waalid Saheb ki shop rent pe he aur wo rent me hissa nahi deta. Kaafi dafa lar ke dekh liya to wo kehta he ke wo meri he is me kisi ka haq nahi. Me tum logo ko rent ku do meri he shop me he Malik. Hum phir chup kar jate he. Hum laraai jhagra ni chahti. Hum chahte he ke aqal aajaye usse aur sudhar jaye but wo kehta ha jis gharo me bethi ho wo tumhre he bas wo dukhan meri ha or me rent nahi dunga.
Yahaa tak ke wo behno ko bhi hissa nahi de raha he. Wo choti behen ke through kehta ha jo ghar ha wohi ha bas aur dukhan me tum logo ka hissa ni ha or choti behn kehti ha jo ghar ha wo sale kar ke hamara hissa do yahaa tak ke wo bari bhai ko ni kehti he ke hissa do wo sirf hum 2 bhaiyo ko kehti he.
Mera sawal ye he ke is sare scenario me behno ka kitna hissa banta he aur jo bara bhai hissa ni de raha wo ke sath kaya karna chahiye hum bohot parsehan he wo hame kehta ha me tum logo ko udar marunga jaha pani bhi nahi milega.
Q: Hamare walid sahib 2010 main intiqal furma gayi thee. 2013 main court ne wariseen nominate kar di thee. Hum 2 bhai 2 behne aur walida. Hum ne koyi bhi property taqseem nahi ki he.
Jis ghar me me, mera bhai aur walida rehte he, kiya us ghar me jab tak hum rahenge kiya us ghar ka rent behno ko hume dena parega?
Q: Ma baap ki death k ba'd 5 behne aur 5 bhai he. Ab betiya baap ki zameen me hissadar he ya apne bhaiyo ke ghar me bhi jo unho ke baap ki zameen pe apne paiso ka banaya huwa hai jab ke baap ne ghar wali jagah zubani taqseem ki huwi he likh ke nahi di huwi. Baap ki wafaat ke ba'd ab behne sirf aik bhai se dushmani ki wajah se usse ghar nahi bachne de rahi aur apna hissa maang rahi he.
Q: Marhoom waalid ki wiraasat me kiya marhoom beta or beti ka hissa hota he jab ke dono beta or beti ki aulaad zinda ho.
Q: Agar ghar me damad jo apni puri zindagi apne susral walo ki khidmat me guzar de aur susral walo ka koi beta na ho to kiya ghar damad ka susser ki jaidad me koi hissa hai?
Q: Mere waalidain ke intiqal ho gaya he. Hum 6 bhai aur 2 behne he aur saari jaidad ka control bara bhai ke pass he. Wo kehta he ke me jaidad sirf 3 bhaio me taqseem karun ga aur kisi ko nahi dun ga. Shari tor pe kiya ye jaaiz he? Pakistani qanoon is ke baara me kiya kehta he? Qanooni tor par ye mumkin he? Aur apna haq kaise liya jaye?
Q:
1. Waraast ki taqseem kis tarah ki jaye. Agar waaris me 8 brothers hayat ho, 1 sister hayat ho aur 1 sister fot hogayi ho to is wirast me fot hone wali sister ka haq he?
2. Jo sister hayat ho, us ka kitna haq he, bhaio ke barabar ya half?
س: ایک شخص کا انتقال ہو گیا ہے جس کے ورثاء ایک بیوی ،دو بیٹے اور پانچ بیٹیاں ہیں اور اس کا کل ترکہ 6900000 لاکھ ہے ۔مرحوم کا یہ تر کہ اس کے مذکورہ ورثا میں شرعاً کس طرح تقسیم ہوگا ۔
Q: If a man has two wives. One wife has 1 son and 1 daughter and the second wife has no children. Then the husband and two wives passed away. Pehle biwi ka hissa to us ke bacho ko mil gaya he. Seconf wifeka 1/8 property ka hissa kon lega? Doosri biwi ke ma aur baap dono zinda he aur 3 bhai bhi he.