tamleek

Zakaat, tamleek aur nisaab

Q:

1. Kia zakat sadqa jariya ma laga saktay hn?

2. Agar zakat kisi k zariye di jaye to us ma malik bnana ki shart kesy poori ki jaye?

3. Jab zakat dibay ma dali jaye ya kisi ko di jaye to us k sath aik page rakh den jis pa ye likh ho k ye pasay is kam ma use ki jiye ga to ye sahi ho ga?

4. Meray pas aik fanci suit 6000 ka un-stiched jise paray huay aik saal ho gaya h jo bhai ki shadi k liye lia tha kia is pa zakat h?

5. Or jahez k liye kuch zaroorat k bartan hn un ko bhi saal ho chuka h kia un pa zakat h?