urdu

Meelaad

Q:

1. Eid milaad Nabi celebrate krna mana h kya?

2. Kya nasheed jis me lgt h background m kuch sunayi deta h usko sun skte h y nh?

Ambulance khareedne ke liye konsa paisa istimaal karna?

Q: Hum log ek ambulanse kharidna chahte he trust k name se. Is me hum mariz k pas se diesel or driver or nominal maintanance ka kharch lege jo regular ambulanse ke kiraye se 40% jitna kam hoga. Khidmat k maqsad se lena chahte he. To ambulanse kharidne k liye kon sa paisa chahiye, Zakat, lillah, interest, Sadka or koi non Muslim donor se imdad le sakte he ya nahi?

Chaar din ke ba'd haidh ka khoon band hojana

Q: Mujhay periods meri date kai mutabiq aye but chaar raatain aye per woh na honay kai barbar tha main pad lagti thi but blood us main nai but washroom main ata tha 5 din main phr white pani agiya tu mainay namaz start karli meri mudat waisay 10 din ki hai howa Yeh kai 10 days ki dophar main blood aiya aur woh blood aisay jari hain jaisy periods ka ho tu namaz parhni hai ya ahtiat karni hai Baray mehrbani jawab dai dain.

Talaaq ka shubuh

Q: Mene or meri wife ne wife k father ki pension ka check cash karwane k liye wife ka id card merey nam se hatwa kar unke walid k nam se banwaya is sare matter main nadra ka banda shamil tha jia document khud hi banye or agey bhejey or ab jb doobara wife ka id card apne nam se banwaya to jo nadra officer ne new nikah nama register kiya or copy hamey di likin us new nikah nama main wife talaq yafta show ho ri hai... Main ne na to mun se kahi na likh kar di na talaq ki neat ki pr nadra officer kehta k walid k nam jab apki wife ka id card m ne transfer kiya us waqt m ne jali talaq nama lagaya tha.. to ab apki rehnumai chai k kiya us nadra officer ki is harkat se mera or meri wife ka talaq ho gya ya nai?