Do wazifah ek saat parhna
Q: Mujhe ye jaanna hai ki hum do wazifa ek sath kr sakte hai? Ek maqsad ho ya dono alag? Is ka koi ulta asar to nai hoga na?
Q: Mujhe ye jaanna hai ki hum do wazifa ek sath kr sakte hai? Ek maqsad ho ya dono alag? Is ka koi ulta asar to nai hoga na?
Q: Agar kisi ne nangi photo dekhi or dekhne se sharamgaah se kuch patla paani ki tarah nikla to kya wo mani he ya mazi? Kya mazi bhi shahwat se nikalti he?
Q: Manay ap se ye do sawal pochaya tha jin ka jawab (nahi ) tha. (Meray pas aik fanci suit 6000 ka un -stiched jise paray huay aik saal ho gaya he jo bhai ki shadi k liye lia tha kia is pa zakat h? Or jahez k liye kuch zaroorat k bartan hn un ko bhi saal ho chuka h kia un pa zakat h?) laki agar ye sab aik tolay se zayed sonay k sath ho or saal mukaml ho chuka ho to bhi ki zakat wajib nahi?
Q: Kya husband k ijaazat ke bad aabroo ke baal kaatna jaaiz hai?
Q: Main bht pareshan hoon meri beti ek saal ki thy tab sy lay kar meri husband usy maar rahy hai ab 4 saal ki hogai hay ab tak maar ta hy usy is tarha tu meri beti pagal hojae gi main kudh per zulim bardast kar loon per Aulad per nahi kat sakty kuch parhny ko bTaein ta k mery husbad apni Aulad sy mohabbat kary un ka khayal rakhu.. Main doo saal sy saudia main aae hun per abhi tak ek b umrah nahi kiya saudia main rah kar b umrah nahi kiya kuch parhny ko dain ta k mery husband mujhy mary nahi meri zarooraton ka khayal rakhy mujh sy mohabbat sy rahy Mery husband ki job ka hamesha masla rahta hay paki nhi horahy Allah karybjob paki hojae mery bachoin ka riqik un ko milta rahy kuch parhny ko dein k un ki jib paki hojae air koi problm nahi hoo. Mery husbad ki lufe main ya job main koi b problm aaty hay tu vo mujhy aur bachoon ko manhoos kahta hay k tu log manhoos ho meri life main isi liyh mujhy job main her dafa problm rahty hay tum logon ka roziq nahi milta mujhy .. Shab riziq tu milta hay unhy per job main hamesha problm b rahty hy kuch parhny ko dain ta k jib paki hojae aur husbnd khush hojae..ery husband ko shadi sy phly dosry larki pasan thy vo ab tak usi sy piyar karty hain roooty hain us k liyh is liyh mujh sy dorh rahty hain .. Bus vo larki un k dil sy mikal jae mijhy kahty hain tum us k paaon jasi b nahi ho tum ek nokrani ho mery liyh bus aur b bht kuch kahty hain .. Mery problm khatum hojae mery ghar main khushiyaa aaein darh nafrat larae mushkil yh sub khatum hojae kuch madad kary Allah k wasty pkz... Kuch parhny ki bataein.
Q: Is ka kya matlb h ka Allah Ta'ala na Umar (radhiyallahu anhu) ki zuban sa haq jari kr dia?
Q: Koi agr azobillah ko bigaar ks parhe mazaak karte hoe aur mazaak karta hoe shaytan ki jaga kisi insan ya tanz karta hoe apna dost ka naam lga dalaikin niyatab us ki kya h ya nhi pta aesa ek larka na kia tha taqreeban saal pahla ab kya hukm h us ko kya samjho agr kufriya kalmia h to kya samjho agr nhi h to kya samjho ab pta nhi us na toba ki h ka nhi main na us sa kha tha ka toba kro is pr ho sakta h us na toba kr li ho ab ap bta da ya situation paish ae aur muj pr to koi wabbal nhi ho ga is silsilla main
Q: Kia parents apni marzi se apni jayedad jitni chahen kisi aulad yani beton k naam karden? Kia parents jayedad se aulad ko aaq kar sakten hn? Kia parents ki jayedad zewar chizon waghera pa betion se zayada betay k hawalay se bahu ka haq hota h? Log betion k naam jayedad is liye nahi lagatay k ghero ko jani h or betonko zayada detay hn k apnay pas hi rehni h hala k wo bhi to bahu k hisay ma hi ana hota h wo bhi to gher hoti h is tarhan bahun ko betion ki nisbat zayda milta h or isi ghar ki jo betian hoti hn un ko nahi milta parents k bnaye huay maakan ma to bahu malkin ban k rehti hn jab k beti mahamn ban k aksar aesa ho ta h k beti ko susral se bhi kuch nahi milta or parents se bhi is tarhan beti ka koi ghar nahi hota beton ko to ghar or dukan waghera hisay ma miltay hn or beti ko jahez da k bs hisa shumar kar lia jata h halan k sari zindagi betian khidmat karti hn akhir ma sab beton or bahu ko mil jata h kia ye sahi h? Asal apnay baray ma pochna chati hun pta nahi ma sahi sochti hun k nahiham 6 sister or 4 brother hn meray maa baap ne bari mahnat apnay dil o jan or khahishat ko mar k sari zindagi hame bohat acha pala h hamary liye itna bnaya h k un k janay k bad ham aesh ki zidagi guzari rahay abu ne kuch makaan or fectary or dukan wghera banai ji se kiraya ata h or aik un married bhia kamata h ab wo sarizimadari uthaye huay h hn betion ki shadi bhi bohata achay se ki h acha jzhez diya h shadi k bad bhi wo aksae ati rehti hn un pa or uk bacho or husband ki bohat khidamt or kharch kartay hn aik behan shadi k bad bui idar hi rehti h us ka sara taqreban sara kharch uthaya h kapron wghera k ilawa kiu k us ka husband use kharch poora nahi deta or ab aik bhai ki shadi ki h wo bhi nahi kamata lakin us ka or us ki biwi bachi ka sara kharch uthay h kabhi kabhi ami kehti hn k jo shadishuda beti ghar ma reh rahi h use apna kharcha uthana chahiy k ab hara farz nahi to ma kehti hun k married bhai ka bhi to kharch uthaya h wo bhi hamari zimadari nahi h us ka farz h apni biwi bachi ka kharch uthaye to married beti ka kiu nahi uthana us ka bhi ap ki kami hui jayedad pa haq h jesay married bhai ka h ami kehti hn nahi bahu hamari zimadri h or beti un ki to muja acha nahi lagta k ye k bat hui waliden ki itni jayedad pa bahu to aesh kary or beti ka koi haq nahi ma manti hun parents ne bohat zayada ki h beti ka jahez bhi deia h shadi k bad bhi bohat kia h magar sari zidagi bet ne khidamt ki h bahu ne to nahi beti ko susral waly bhi kuch na de or parents se bhi na milay kia ye soch sahi h ? Meray parents ne sari zidagi mahnat se or kanjoosion se zidagi guzari or itna sab bnaya hamray maa baap ne or ham behn bhaio ne tarikay se kharch kia behno ki to shadi ho gai jo hn wo bhi soch k karaty hn or jo bahu ai h usne ne dil khol k aesh ki phir mera dil jalta raha or hamara makan girnay wala h ham sari zidagi naye ghar ka itizar kartay rahay ab jab banny laga h to abu hi is dunai ma nahi h amu ku ymar bhi kaafi ho gai h behno ki to shadi ho gai h bs ma aik hun meri bhi Allh karay ho jaye to ma sochti hun ab ye neya makan to bahun k hisay ma ana h unho ka haq hona h hamar to koi haq nahi ho ga jab k ye hamray parents ki mahnat ki kamai ka h or hamara hi haq nahi ho or udhr susral waly bhi koi haq nahi detay ye sab dekh k mera bohat dil jalta h laki ma kia karu ma khud ko smjhati hun aesa na sochun ap hi btaye ma kesy khud ko smjhaon?Allah ap ko jazzaye Khair Ata farmaye.
Q: Ager beti sa baat kertay howay khnay lago k (Allah daikhay ga or forun keh doon k Allah daikh raha ha) tu kaya dunu sentences teek hain (Allah daikhay ga khnay sa ager ya khayal ayya k (Allah tu bila shuba sab daikh raha ha k future ki baat Allah ky liya keh diya jb k Allah tu sab janta ha or daikhta ha or phir jhatak ker k (Allah daikh raha ha) ya soch kesi ha?
Q:
1. Aqamat-e-Salaah kis ko perhni chahiyy? Kis ka haq ziyada he. Moaazan ya kisi aur namazi ka?
2. Kharay ho kar paani peena kaisa hy aur khuch loog kehty hy koi farq nahin perta Huzur (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne kharay ho kar bhi paani piya he.