urdu

Pareshaani ka hal

Q: Pahla ye ke mene MBA and BTech kar liya hai. Fir bhi meri naukri nhi lagti. Aur agar koi mil jaati hai to usme mera dil nahi lagta hai mere dimaag me ulte seedhe khayalat aate hain ki is naukri me main fas gaya hoon isme mera future nhi hai ghabrahat hoti hai aur woh job nikal jaati hai haath se. Mera dil bohot ghabrata hai. Pata nhi kyun sote sote uth jata hoon ghabrahat hote hi. Me sharukh khan ya salman khan ko dekhta hoon woh itne famous hain ya aur kisi ko dekhta hoon famous insan ko jinke peeche duniya pagal hai. Woh aate hain chale jaate hain kisi bhi shaher me kuch ghante rukte hain pata nhi mera dil kya chata hain aur me ghbarane lagta hoon. Please kuch batayie .... Me kya karoo

Nikaah ke ba'd talaaq se mahr waajib hoga?

Q: Arz ye he k mere sister ki shadi ko 2 years k arsa hone wala he or us k or us k shohar k darmyan izdiwaji talluqat qaim nahe howe hen jis ki waja shohar ki medical fitness he or tamam ghar walo ka zulm or ziadti he. Meharbani farma kr jald az jald written me fatwa arsaal karden. Mere 3 sawal he

1. Shohar talaq k waqt haq mehar dene ka pabnd he?

2. Doran iddat shohar naan nafqa de ga?

3. Shohar kehta he k me na haq me her do ga na naan nafqa. Is k baare me kia hukum he?

Sunnat-e-muakkadah aur Sunnat-e-ghair muakkadah me farq

Q: Masla ye he ke sunnat-e-muakkadah owr sunnat-e-ghair muakkadah me koi faraq he ya nahi? Kuch saathi kehte he ke sunnat-e-muakkadah yani zuhr ki chaar sunnat me do rakat ke darmiyaan jab qa'da karte he to attahiyyaat sirf parhenge aur sunnat-e-ghair muakkadah yani esha ya asr ki chaar sunnat, us me do rakaat ke darmiyaan me attahiyyaat ke saat durood shareef bhi parhenge. Is ki wazaahat karde. Agar koi aur farq bhi ho to bata dijiey.