Khwaab ki ta'beer
Q: Khawab me bht sare papeetey dekhna kaisa hai. me ne papeetey ka bhtttt bara der dekha hai.
Q: Khawab me bht sare papeetey dekhna kaisa hai. me ne papeetey ka bhtttt bara der dekha hai.
Q: My husband is very ill and the doctor has said that he has very less time to live. Being a Muslim me and my family have trust in Allah and we are praying a lot and making dua for his long and healthy life. Allah ki zaat se mayus nhi ho sakte. Seeking help from Allah.. pr waswase atae hai ki shayad kch thek na ho.. Imaan pe layam hun ar Allah se shifa ki dua krti hun pr kabhi kabhi dil bht bechain hota hai. Allah se dua krti hun ki vo koi ishara de ki uski madad hai mere sath.. Ap btayen ki kya kru.. waswase imaan kamzor krne lagte hai jabki mai apne Allah pe yakeen rkhte hue is baat pe yakeen rkhti hun ki vo mere shauhar ko shifa zrur dega kyuki vo hi zindagi ar maut ka malik hai.
Q: My question is, kya muhabbat karna gunna hai? Kya musalman se muhabbat karna gunnah h? Jis insan se main muhabbat karte hu woh musalman h in fact hanafi h kiya yeh kafi nhn h? Kya kuwari baligh bache apni marzi se nikah nhn karsakte? Main alima banne wali hu bs 2 ya 3 saal reh gaye h muje recently realize hua k pehle Allah hai phir duniya. Jab maine realize kiya k pehle Allah phir duniya h toh jis bande se main muhabbat karte hu woh baligh musalman woh bhi hanafi h kiya yeah kafi nhn h? Hamare ustado ne yeh sikhaya k jab kisi kuwari aur baligh ka nikah ka time ata h toh woh khudi decide kar sakte h. Mere ma baap specially ma chati h k main mufti se nikah karu. Kaise trust karu jab aj kal k zamane main trust karna he mushkil h jaise hufaz smoke aur drink karte h, jab k Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k zamane main huffaz Quran ko protect aur yaad karte thai aur jab written nhn hoti thi toh foran yaad karte thai. Same goes with mufti aj kal k zamane main mufti ab marte galiyan bagte paise k peeche jate jab k Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k zamane main bilkul he nhn tha. That's something different but jab hazarat Ali, Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k ghar main dakhil hue thai aur hazrat Fatima k liye rishta mange thai toh ap ne farmaya insha Allah aur foran apne baite hazrat Fatima k paas chale aye aur faramaye baite Fatima hazrat Ali ne apke liye rishta mangne aye haan kehdu? Toh hazrat Fatima ne farmaya ji phir apne rishte ko accept kiya. Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne toh gali nhn de nor beti k saath batameez ki nor force kiya k tum mufti se nikah karna lazmi h. Yeh toh nhn kaha right??.. Jab hum Islam ko sikh rahe hain toh amal bhi karna chaye. Beshaq Islam main 4 cheezain dekhna chaye nikah k liye. Par jis bande se main muhabbat karte hu woh musalman h kafir nhn yahan tak k woh shia nhn h bs hanafi h aur musalman bhi kiya kafi nhn h? Main alima ban rahe hu aur mushkil se deen ko accept kiya jab k main duniya k studies k peeche bhag rahe the aur jab k maine muhabbat ki toh deen pata nhn kahan se kahan take phoch gaye jab k na islam main aur na deen main force h. Main kiya karu? Main unhe se nikah karna chati jisse main behad muhabbat karte. Muje pata h deen muhabbat se chalta h na k zabardasti se. Main zabardasti ki wajah se ghalat raaste main nhn jaana chati hu par lag raha zabardasti ki wajah se arahe hu. Muje pata nhn main kiya karu? Kahan jao? Kisse bolu? Yahan tak k meri ma khud alima ban rahe h shes deenv and duniyav educated but still she's acting like she doesnt know anything? Dusra sawal kiya kisi momin k feeling k saath kehlna islam main jaiz h?? Kisi momin k feelings ko hurt karna islam main jaiz h? Kiya yeh islam h? Jab ek couple ek dusre ko muhabbat karte unke feelings k saath kehlna jaiz h?? Jab ma baap baat nhn sunte bacho ki toh khudkushi karwana inhn m main jaiz h? Jab couple main se ek banda cough syrup piye jab woh larki se behad muhabbat karta h larki k ma baap ki wajah se kiya yeh islam main jaiz h? Dusro ko hurt karna aur apne manmane karna kya yeh islam main jaiz h? Kya yeh sab islam main jaiz h?
Q: Mera ek dost he, uska nikah 8 sal pehle hua tha, nikah k 5 sal bad uske badhi mannnato se ladhka peda hua, bchcha 1.5 sal ka ho gaya or uski maa, mere dost ki biwi ko ashiqi ka bhukhar chadha, wah uske walid ke ghar aksar milne jaya karta thi, or kuch din rukti bhi thi., uske walid ke ghar rehkr usne kisi ger mehram se talukat kayam kiye or hamila bhi ho gyi, bad iske jab uska shohar usse lene gya to unke samne us ger mehram ke sath bhag gyi, or 24 gante bad bhagte huye pakdhaye, pakdhane ke baad uske walid us ladhki ko uske gar le gye, mere dost ne talaq ki ichchha jahir ki par rishtedaro ne chalne nhi diya (us bhagne k mamle ko ranjish bata kr niptaya gaya) or use us waqt is haram kari ke bare me nhi bataya gya, mere dost ne uske bachchhe ki khatir us ladhki ko maaf kr diya, jab mere dost ki biwi uske ghar aayi to 15 din achchhe se rehne ke baad usne natak chalu kr diye, or uske shohar ko sari bate quran sharif par hath rakh kr sab bata diya, uske shohar ko sab pata chal gya, or wah us ladhki ke sath nhi rehna chahata, or ladhki bhi nhi rehna chahti, ab masla ye he ki us masoom ka kya hoga, uska baap use rakhna chahta he, or uski maa dena nhi chahti, baap ko pata he agr ladhki bachcha le gyi to us ladhke ki zindgi tabah ho jayegi... ab bataye kya aesi aurat ko nikah me rakhna sahi hoga wo bhi bachchhe ke liye, ya talaq de diya jaye? agr mera dost sabr karta he to use kya azar milega,? aur agr aesi biwi ka katal kar de to gunah hoga???
Q: Mein wehum owr wesesay ki mareez houn mujay ya poucna ha
1. Ager koi khud kalami mein Qurani aayat baturteeb yani alfaz agy pechay ker day yani ya keh rahi ho mein nay Quran es aayat sa perhna shorou kena ha lakin alfaz agay pechay ker dey
2. Ager koi ourut bat kertay huyya keh day ka mein insan houn mujay zeada momin bunay ki zarorut nahi
3. Ager koi ourut khud kalami mein hadees ka alfaz jasay ya hadees ha rizik ki quder kro es sa ya sumuj ker apanay app sa ya keh dey pearay nubi na fermaya riziq zaiya nahi kerna chahiy to kia os ko hadees ka alfaz budulnay ki weja sa gunah ho ga
4. Mujay koch nufciaty masail hain kisi weswsa anay per 2 ya 3 bar ya keh day my name es Allah pleez mujay in gultioun ka bary mein bta dein kka in sub gutioun sa mery iman owr nikha per to aser nahi hoa Allah app ko jazay kheer dey
Q: Kaya shooting ka kaam ki deekh bhaal ki job jaiz ha?
Q: Maine nashe ki or ghusse ki halat me phehle biwi ko 2 bar talak bola tha fir main dobara nikaah kara aaj fir wo hi galati ho gai 2 bar bola abb muje ek bacha bhi hai or biwi sansar karn tayar hai. Ruju bhi hua lakin ham abb alag hai bohot pachtare bache ke lie hamari maddat karo... kuch sahih rasta batao ham sat rehna chate hai..
Q: Aik larka jiski age 27 sal hy, 3 betay hain. (5 sal, 4 sal, 1 sal) Ghar main aik bewa walda, jwan biwi, 2 jwan ghair shadi shuda sisters hain... Kia us larkay ke liay inn sab ko akailay chorr kr kisi or mulk main jihad ke liay jana darust hy? Ghar main sirf ye aik hi mard hy.
Q: Mere husband ne mujhe January 2017 mein do divorce ke letter bheje. Aik letter pr talaaq e awwal aur dosre letter pr tlaq e Dom aur som likha hwa tha.But us pr date January 2016 ki tehrir thi. Jabke 2016 mein na tu wo Pakistan mein the aur na hi unhon ne koi tlaq bheji.Wo deçember 2016 mein Pakistan aai aur mein December mein in k sath bhi rhi.us k baad unhon ne mujhe maikay bheji dia.aur us k baad January mein ye tehrir bhi bheji di.mujhe unhon ne zuban se kuch nhi kaha.aise ghalat date k sath talaq ho jati he?unhon ne tlaq 2017 mein 2016 ki date likh kr tehrir ki jbke 2016 mein mein Hamal se thi. Kia koi gunjaish baqi he?
Q: Maine bohat jaga se suna k kaale rang k kapre nhi pehnne chahiye. Kya ye sahih hai aur kaale kapre pehn sakte hain?