Khwaab ki ta'beer
Q: Mujhe apne khwaab ki ta'beer maloom karni hai. Ye khwaab maine 2 hafte pehle dekha. Sham mein maghrib ki namaz k bawd wazaif r tasbeehat parh kr main leiti r aankh lg gyi tb, taqreeban 6:30 se 7:30 k darmiyan.. us se kch din phle hi mera rishta pakka hua r main ALLAH pak se dua kr rahi thi k mjhe koi ishara mile ku k mera is rishte se dil mutma'in nhi hai. maine dekha: hum sb ghar wale kisi building mein bethe hein. building abi puri bni nahi h, darwaze r khirkiyan b nhi lge, cement wali deewaren(walls) hein. abu charpai per leite hue the ammi r meri choti behnen dono pas bethi thi. main b nazdeek hi chair per bethi thi. sb log kisi bat se khush the r hans bol rahe the siwaye mere. achanak maine dekha k khirki(window) wale gap mein se bahr bht gehre r siyaah bht zada baadal aw gye hein r bht qareeb pohanch gye hein. main bht pareshan ho jati hun magar koi r ni dekh raha hota bahr. badalon ko dekh kr main sochti hun k bht bhari toofan aane wala hai jo sb kch tabah kr de ga. phr thori deir guzarti hai tou mjhe thora thora continuous zalzala mehsoos hota h.. main r preshan hoti hn per koi r mehsoos nhi kr raha hota. main sb se kehti hun k zalzala aa raha h khamosh ho jayen tou sb kehte hein k tumhara veham h r meri baat ni sunte. main phr bahr baadalon ki traf dekhti hun r sb se kehti hun k bahr dekhen kitna khaufnak toofan aane wala hai, tb b koi meri bat ni sunta. main zabardasti ammi ko dikhati hun tou jese hi ammi dekhti hein baadal hatt jate hein, r jb wo waps jati hein tou phr se wese ee gehre siyaah toofani baadal aa jate hein. is k baa'd meri ek dam aankh khul gyi. is rishte k lye kisi ne b istikhara ni kraya. Mujhe please bataiye ke mere khwab ki kya taa'beer hogi. Mujhe bhot preshani hai.