iddat

Iddat period after khula

Q: I wanted to ask what is my iddat period after khula? The reason behind khula was that my husband dont come near me or talked to me for 3 years inspite of living in the same house. We lived like strangers under one roof sleeping in different rooms.

Teen talaaq

Q: Mera sawaal he ke agar aurat ko uske sauhar ne ek mahfil mein teen talaaq de di to kya talaq ho jayegi? Talaaq ke baad woh aurat ek shaks ke sath bagair nikah ke rahne lagi 2 saal baad woh apne sabiq sauhar k sath nikah karna chahti hai iske liye jab maloomat ki to pata chala ki halala nikah karna hoga to kya ab usse halala nikah se pahle iddat guzarni hogi.

Iddat me kaam par jaana

Q: Mera masla ye he k mere divorce hone wale h 2-3 din me. To muje iddat kb se or kaha, kis tarah bharni hogi? Me pichle 5 mnths se apni ammi k ghr hu. Meri phli shadi se 1 beti h jiski parwarish k lie me job krti hu. Me teacher hu or meri school ghr se 20 km dur h. Ghr me koi mard h nhi sari zimedari meri h to kya me iddat k doran bahar ja skti hu? Meri school me sirf ladies staff h or koi or income ka zariya nhi h to kya possibilities h?

Talaaq ke b'ad iddat

Q: Mere ek dost ka call aya tha usko kuch masail paish aaye he jo wo puch ne se kuch sharm mehsus kar raha he is waja se usne muje kuch bate puchi he jiske bare me wo ap se kuch rehbari chahta he...

Us ladke ne ap ni biwi ko talaq de di he... Uske sawalat ye he ap se guzarish he ke iske bare me kuch rehbari farmayein.

1. Talaaq ki waja se biwi ki iddat kitne din ki hogi?

2. Ladki ko kahi salon se haiz (mahwari) nahi aa rahi to kya iski waja se iddet ke time me koi farq aa sakta he?

3. Ladke ne talaq se pehle 3 month tak ladki se suhbat nahi ki to kya isse iddet ke dino me kuch farq aa sakta he?