Libaas

Namaaz ke liye kurta phenna

Q: Mera ek sawaal ye he ke mujhe bachpan se aramdeh kapre pehenne ki aadat he or agar me kurta pajama ya jeans waghairah kuch pehenta hu to mujhe garmi lagti he or khaarish bhi hoti he. Ziyaada tar me aadhi aasteen waali cotton ki T-shirt aur cotton izaar pehnta hu to kya mere liye ye zaroori he ke namaz ke waqt ya waise bhi kurta pajaama pehnu.

Jaandaar ki tasweer ke saath namaaz parhna

Q:

1. Shirt pe baaz ke par bane ho bohot chote jasaamat ungli ki baqadar kya usme namaaz hojaegi ya duraani paregi? 

2. Jaandaar ki tasweer ki jaga namaaz nahi hoti duhraani parti he lekin shraait kya he:

a. Jaandaar ka chera bana hoga tab namaaz nahi hogi?

b. Jaandaar ka chera chupadia jism dikraha he to namaaz hojaegi ya nahi?

c. Ya poora jaandaar ki tasweer chupaana paregi ?