suspended talaaq

Kisi ku phone karne par talaaq ku muallaq karna

Q: Ma kisi tara bi in waswason sa nahi nikal pa raha hun. Actually muje jo cheez tang ker ri ha wo ye ha k ap na dakha ho ga k jab manay second time apnay words repeat kia k agar tum na baji ko call ki to mari taraf sa talaq ho gi ( please refer to my previous question), is jumlay ma main 'kal' ka word use kerna galti sa or ger iradi tor per bhul gya tha. muje boltay huay ni pata tha k manay kal ka word miss kia ha. ye sirf aik insani galti thi. mara maqsad qat,ai ye ni tha k ma zindagi bhar k liay apni wife ko mari baji sa bat kernay sa rok raha hun or asa kasay ho sakta ha. aik husband ko to proud hota ha agar us ki biwi husband k gar walo sa achay terms rakhti ha. manay ye words generally ni use kiay thay sirf us aik call k liay kahay thay. infact pehli bar to clear kal ka word bhi use kia tha. ma scenario bhi bata chuka hun ap ko k hamaray bich usi aik call pa argument ho raha tha or manay usi k lia shart lagai thi. Allah dilon k hal khub janta ha or amal ka daromidar niyyat pa ha. mari niyat sirf us call ki thi hamesha ki ni. ma ye bat Allah ko hazir nazir jan ker or oath la ker kehta hun. is surat ma maray case ki kia ruling ho gi? kia ma apnay biwi bachon k sath zindagi guzar sakta hun? mari wife na us din (19 august ko) call ni ki thi. lakin us k bad bat bhi hoti ha or ana jana b hota ha. mari biwi muje boht tasalli or dilasa dati ha k kuch ni hua parishan na hon lakin ma dar chuka hun. muje divorce phobia ho chuka ha. kia koi asi surat ha k ma apnay is haq sa dastbardar ho jaun q k muje hamesha ye dar lagta ha her waqt sochta hun k future ma mari zuban sa ye word khud ba khud nikal jaen gay. Me apna ghar kharab ni kerna chahta. Me apni biwi or betion sa be panah pyar kerta hun ma mar jaun ga mufti sahab plz muje is aziyat sa nikalen. Aap k jaldi reply ka intezar rahay ga. Jazaak Allah.

Talaaq ku mullaq karna biwi kisi ku phone karne par

Q: Mufti sahab hua ye tha k 19 august ko mari sister or behnoi na hajj per jana tha. 18 august ko maray parents unhen alwidah kernay un k gar gay lakin kisi waja sa meri wife ko sath ni la ker ja sakay. Ma UAE ma job kerta hun or mari wife gar walo k sath pakistan ma rehti han. 18 aug ki rat ko ma fone per apni biwi sa bat ker raha tha jab mari biwi na ye bat muj sa discuss ki k gar walay muje apnay sath ni la ker gay halan k manay unhen bataya bhi hua tha k muje sath la k jana jab jana ho to ma bhi baji sa mil lu gi. manay apni biwi sa kaha k han tumen sath la k jana chahye tha lakin chalo koi bat ni tum baji k janay sa pehlay fon per bat ker lana. wo narazgi ma bol ri thi k ma fon ni karun gi. muje bura lag raha tha k wo mari bat q ni man rahi is lia ab ma tang a ker us ko keh raha tha k acha thik ha tum cal mat kerna. ab wo kehnay lagi k ma karun gi. manay ego ma a ker us sa keh dia k agar tum na kal baji ko call ki to mari taraf sa tumen talaq ho gi. Us na kaha ke ap jo marzi kahen ma kal fon karun gi or ap ko saza dun gi ap na talaq ka q bola ha. manay dobara kaha k agar tum na call ki to mari taraf sa talaq ho gi, talaq ho gi, talaq ho gi. (Main Allah ko hazir o nazir jan ker or us ko gawah bana ker halfia ye kehta hun k manay ye pabandi sirf usi aik call k lia lagai jo 19 aug ko mari sister ko ki jani thi). Mari biwi na mujhe kafi daraya tha k ma call ker du gi ta k ap ko saza milay lakin us na us din call ni ki. Manay aik din ki pabandi lagai thi is lia ab un dono ki fon per bhi bat hoti ha ana jana bhi hota ha. Kia ma normal life guzar sakta hun kisi dar khauf k bager? Meri do choti batian han ma tara tara ke waswason dar or khauf me hun.

Talaaq ku kisi shakhs se baat karene par muallaq karna

Q: Muje ye pochna tha ke agar shohar apni biwi ku kahey ke tum ne falan shaks ss or us ki beton betion sy bat ki to tum mujh pe talaq ho. Us k bad biwi ye sawal karti hai ke ap un man sy 1 ka k us ka ap ku keh rahey ho husband kehta hai k us ki bat nai ki ku k us sy tum bat kar he nai sakti agar ma na b kaho to es k chand din bad usi shakhs ko kisi doosrey shakhs k mobile sy message bhjti hai. Mera sawal ye hai ke ab es k bad hamen kia karna chaye. Us k bad ham abi tak qareeb nai gye. Mehbani farma kar rahnumai.

Suspending the talaaq upon any action

Q: Will the talaaq take place if my husband suspends the talaaq upon any action that he does. For example, he says "If I do a certain action, then my wife is divorced", then if he does that particular action, will the talaaq take place? Similarly, what is the Shar'ee ruling if my husband suspends the talaaq upon any action that I do? For example, he says "If you do a certain action, you will be divorced". Through me doing that particular action, will the talaaq take place?