Ijaarah

Visa se paise banana

Q: Agr koi Saudi ka visa lagwata h to uske 1 lakh ya 95 hazar tk lgte h... Aur agent mera dost h agr me usse lagwau to vo mujhse 60 ya 65 hazar leta h.. to kya agr me saudi jane wale bnde se 80 ya 85 hazar leke baki usme ss 60 agent ko du..baki ka 20 25 hazar me rkhlu to kya y jayaz h ya haraam h....

Company ka maal khareed kar kam qeemat me bechna

Q: Mere husband jis company mai kam kartay hain wo unko ik makhsus raqam dete hain koi product khareednay k liye. Mere husband ne us product ka discount code dhunda or kum price mai khareed lia ab jo raqm bachi hai wo khud rakh saktay hain ya company ko wapis de dain. Jab ke company ki pata hai ki product kum peso mai b khareedi ja sakti hai or hamare halat bhi ziada achay nahi qarz ki adaigi bhi karni hai or 4 bachay hain jin mai se 3 school age ke hain magar admission fee ki wajhe se nahi ja rahe.

Office ko photoshoot ke liye kiraayah par dena

Q: Hamare paas ek jagah hai office space jiske malik ham hai aur wo abhi khali padi hai...rent pe gayi nahi hai...Ek aise shaks aaye hamare paas jo production house mai kaam karte hai unko jagah rent pe aise chahiye per day ke hisab se jabhi wo office space istemaal kare..Unke kaam ki noiyat aisi hai ke wo photo shoot karte hai aise models wagerah ka logo ka jise tasveer nikalni hai aksar to vo digital tasveer nikalte hai to ye rent pe unko dena hamare liye halal hoga ya nahi? Kya ham unhe office rent pe de sakte hai?