Khwaabo ki Ta'beer

Khwaab me dargaah dekhna

Q: Hame khwaab me dargaah ki ziyarat hui he. Hame hamare mamu dargha le jane ke lie ghr aye he aur hum bohot khush he. Mamu ke pear me kuch chub gya jis wajah se ghr aa gye. Hame hamre gahr ke thoda dur wali dargha ki ziyarat hui he. Puri saaf saaf mene wo dargaah dekhi khwaab me. Aap batiye iski tabeer aur ye bhi ke kya mjhe jana chahiye waha?

Rishtay ke lia istikhara karna

Q: Aagr larki ne rishtay ka istikhara kiya hy dil mai sakoon hasil hua istikhara ke bad khuwaab nahi aya usi larkay ko wo pasand bhi karti hy. Ab istikhara ke baad dusra qadam kya lena chayiey? Larki ki family ko kya rishta pakka kar dena chaiye jab ke larka kaam bhi nhi krta or larki se umar bhi choti hy 6 ya 7 saal?

Teen khwaabo ki ta'beer

Q:

1. Mujhe khwaab ke bareme puchna he. Recently ye khwab aya tha me kitchen me kunda (Indian sweet he Jo dudh ki ubal kr use gadha bana ke sugar dal kar bnaya jata he) bna rahi thi pehele wo thoda patla that bad me dekhato wo bhot acha gada cool bhi that mene test kiya bhot mithi test this me ammi ko boli me ye Abba ko deti hu me katori (small bowl) li Jo nayi thi much naye bartan dikhe steel ke me soch rahi the ammi nehi liye hoge mene serve krneko nyi ktori li meri ankh khul gyi.

2. Mene istikhara kiya tha uske liye jiske sath shadi hui but WO eunuch nikla divorce hogaya tab ye khwab aya tha ki mere glemeki wooden tasbih tuti aur achanakse green tasbih gale me giri me darke uth gyi iska kya matlab tha in real me green tasbih ,tabih pdneko use karti hu.

3. Mene abhi istikhara kiya tha acha husband milega ya nhi to ye khwab aya tha saffron me pedko saffron ke phool lage the (WO exact saffron kahi ped tha ye malum nhi but uski khushbu saffron jesihi thi). Mene thread us phool ka nikala aur behen ko bol rhi thi ye saffronhi he iski khushbu dekh.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me na apny khawab ki tabeer maloom karni ha mn na khwab mn dekha k mari ak janny wali ha or wo mary se thra agy khari ha mn usy dekh raha hon us ko ulti(vomting) hoti ha par us k mu se pani nai nikalta balky gosht ka lothra us k muh mn ajata ha or wo usy kainchi se kat dati ha us k bad mari ankhn khul jati han mn jag kata ho.

Ghar me ta'leem karna

Q: Hamary ghar per bandish hai jissay poucho woh yehi kehty hain or kisi nay hulya bataya toh woh hamari phupho jaisa hai or hum janaty hain ke hamari phupho aisy kaam kerteen hain. Meri baji ka ak jaga rishtay ki baat chal rai thi toh us dooran meri choti behn ko khawab aya ke woh skool say ghar ati hai or gadi say utarti hai or hamary ghar ke bahir kiyari main bohot bara neem ka darakhat hai us k neechay muhalay ki ouratain khareein hain or vahan per hamari dadi bhi chair per bhaiteen hoteen hain or peryshan hoteen hain dari huvi or woh kiyari main darakht k pass bohot bara ghadha hota hai kehra sa or pass main meri ammi nay phupho ko pakra hota hai meri behn nay sari phupho ko nai dekha lekin khawab main usko pata hota hai k yeh phupho hai toh meri ammi nay phupho ko pakkra hota hai or unhain kehraheen hoteen hain k nikal jo tunnay yahan dafnaya huva hai or jab khaday main dekhti hai toh usmain saaf pani hota hai or bohot zada kalay taveez hotay hain or usmain say taveez nikal raheen hain taweez us k baad phupho k pass behn jati hai or kehti hai k q app nay hamara ghar bardaad kiya or thappar marti hai or phupho gir jateen hain. Is khuwab k baad meri behn ka rishta bhi tooth jata hai or hamary ghar main bohot laraeyaan hoteen hain hamary bhai humain har baat per marny k liye atay hain or mara bhi hai humain mery ammi abbu ko bhi dhakkay datay hain. Bohot halaat kharab hain. App say ghuzarish hai k is khuwab ka matlab bhi zaroor batana or yah bhi batadain k us jaga ki humain ghodae kerni chaiye ke nai. Hum log kafi parhae bhi kerty hain or manzil bhi parti houn or namaz bhi.

Imaan ki hifaazat karna

Q: Mujhe apne khuwab ki tabeer Maloom karni he. Me ne khuwab me dekha keh boht sare Jangi Tayare (War aircraft) asmaan per phir rahe hain aur bilkul jang ka sama he. Thori dair main dushamn ne topon (Tank) se hamla kar dia he aur asman per ghard-o-Ghubar chaa gaya he. Main apne Bete (Son) ke sath ghar se thori Musafat per tha. jese hi hamla hua main ne Kalma Parna Shuro kar dia aur Bete ko bhi Talqeen ki aur ghar ki tarf rawana hua. main boht Dara hua tha. But hamara koi bhi Nuksaan nhi hua tha. aur phir Achanak meri Ankh Khul Gai. aur dousri baat ye Eysa khuwab me ne pehle bhi 2 se 3 baar dekha he. Matlb Asman per War aircraft phir rahe hain. etc aap se Iltimaas he mere khuwab ki tabeer bata dain.