Khwaab me maut se muraad
Q: Maine dekha ke mere walid ka intekal ho gaya hai aur mai unhe dafnake aaraha hu, aur ye khawab maine sawere 7:00 Am ko dekha. Please muje iss khwab ke tabber batyae.
Q: Maine dekha ke mere walid ka intekal ho gaya hai aur mai unhe dafnake aaraha hu, aur ye khawab maine sawere 7:00 Am ko dekha. Please muje iss khwab ke tabber batyae.
Q: Hamara ye sawal hai ke hum me subah ke 4.30 baje khwab dekha ke hamare bhai hamari family ko kisi museebat se bachane ke liye apne haath me bandokh lekar aasman me chalarahe the koi uska video nikal kar galat audio adit kardete hai hum sab ghar wale us video ko dekhkar rone lagte hai. Kya aap iski taabeer bata sakte hai?
Q: Main ne khwaab me dekha ke ma asman mein urh rhi hun or ma nay ak larky ka hath pakra hua ha or wo bhi mery sth asman main ma urr raha ha. Me us larkay ko janti hun. Aap bta skty hain us ki tabeer kya ho skti ha?
Q: Mainay husband kee job sey related ek city sey doosray city move honay k liye Istikhara kiya tha k kya apna city chor ker kahin doosri jaga shift hujain ta k kahin wahan job mil jaye ager yahan nahi mil rahee tu...mujhey 1st khuwsb aya aur fajar per ankh khuli.
First khuwab mai dekha k ek sahab palang per baith k gold sey kuch khel khel rahay hain logon k liye aur unk as pass logon ka hujoom bhee hai. mai kahty hoon k inko chorain mujhey sey khelain tu jawab mai woh kahtay hain tumharay liye tu hai inko khelnay du.
Second khuwab aya k buhat khoobsurat samandar hai hulka hara aur safaid paani usmai mai kuch logon k saath mil ker paani ka pipe lugatay hain bara tak paani store kerlain mujhey us mai meri Ammi aur meri phoopo nazer aty hain Dunu nehayat deendar khuwatein bhee hain aur adaton kee acchi bhee kisi k mamlon mai nahi perti khair pipe jortay hoye mujhey ek awaz aty hai k kahin pipe toot na jaye mai pareshan hu ker phoopo ko kahty hoon k yeh pipe tootnay ka kahraha hsi tu phoppo kahty hain bayfiker hu kerlagao yeh pipe nahi tootay gaa.
Q: Me ne khawab me daikha kh koftay waly chawal sy washroom ka kamot bhara hoa ha ar mujhy nhi yd kh sayh kon ha husband ya koi ar . Mn us insan sy kah rahi hn kh itny bary kofty hn ar pareshan hn kh kamot mn kis ny yah khana dala.
Q: Main ne khwaab me daikha ke mary shohr ss kisi kisi jaga ss kafoor ki tarah ki khusboo aa tahi ha.
Q: Main teachr hn. main ny khawab main daikha kh main class lainy ghalti sy dosry floor pr chali gai wahan nai teacher ha mn ny us sy pocha yh pehla floor ha usy nhi pta tha laikin boli han pr main ny neechy jhank kr daikha tu pehla floor nechy tha.tu main neechy phly floor pr utar ai. Abhi seryan utri hon tu humary school ky aik chaprasi mujhy khty hn kh ap ky abu ky liyay dua krty hn.mary abu 12 din phly faut ho chuky hn .tu mn ar sath hi kuch nai teachers ar wh chaprasi dua ky liyay hath uthaty hn main soch rahi hn kh wh dua unchi awaz mn parhain gy ar hum sunain gy laikin wh bol nhi rahy thy tu mn samjhi kh hr koi apni apni dua parhy ga. Baqi teachers batain kr rahi hain .un uncle ny aik dafa mna kiya laikin wh phir batin krnt lgin mary hath dua ky liyay uthy pr hathon ky darmiyan mn aik daigchi ka dhukan utha hoa ha .usy bhi uthaya hoa ha ar dua bhi mangny ki koshish kr rahi hn pr shayad teachers ki baton ki wajah sy ar us dhakan ko sambhalny ki wajah sy khalal prh raha ha. Akhir mn main ny ameen kh diya jaisay hum munh pr hath phairty hn ar shayad un uncle ny bhi dua mang li thi.
Q: Mary abu taqreban do hafty phly faut ho gay he. Aaj mn ny khawab mn daikha. Khawab yun hn kh abu aik choty sy knry mn aik single charpai ya bed pr soy hoy hn. Mn ar meri choti bhn hn wahan wh kmry ky baisan sy munh dho rahi ha. Mn bahany sy usu bahir bhaijna chahti hn ta kh mn abu sy bt kr sakon. Phir mn abu sy bat krti hn laikin ami sy chup kr abu khty hn kh un ky paon ki chapl pechy sy waisay tu pori ha pr zara lgti ha kiyun kh unhain sugar ha is liyay tu wh chahty hn kh chapal zara naram ar thori bari ho jay. Mary bhi zahan mn yhi tha kh abu ko zara lmbi ar naram chapl la ky don. Dosra abu khty hn pajama zara chota ho lmbai mn .mn ny wh phn kr daikha mujhy pora tha .laikn abu ko chota chahiyay.ar meri koshish thi khawab mn kh yh dono kam kron.
Q: Skool mn shayad hafta safai mnaya jana tha tu mn ny apni aik purani class ki saheli ko daikha. Jahan hm dono khary hn wahan drkht pr lmbay safeed baingan ltky hoy hn mujhy achy lgy. mujhy khti ha kh tum yahan kaly bhi lga lo tu humary dono rung ky ho jain gy kaly ar safeed. Us ky bad mn agy chal pari daikha zameen pr bhindyan giri hoi hn jo mn ny shayad usy ya kisi ar ko di thin kh wh ja kr staff room mn rakh dy. Giri hoi bhindiyon ko daikha jaisay kisi bchy ny kutr kr phainki hn mn wh utha rahi hn tu wohi saheli aa gai boli rahny do yani na uthao mn ny kaha mn dho kr pka lon gi. Yani mujhy farq nhi pr raha tha kh kutri hoi hn.
Q: Main skool mn apni head mistress ky sath chal rahi hn kh aik admi ny office mn shikayat ki ha halan kh us ka kam ho gaya tha mn ny bhi kaha kh kam us ka ho gaya tha phir bhi shikayat lagai. Hum chal rahy hn ar rasty mn zameen pr double roti ky aik ya do tukry daikhy wh mn zameen sy is liyay uthay kiyun kh wh giry hoy thy. Agy gai ar bhi prhy hoy thy wh bhi utha liyay.