Khwaabo ki Ta'beer

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy khwab ki tabeer pochni thi ke ma khwab ma daikha ke hum sab gar walay khana kaba ma khry hotay hn or meri behn kehti he ke yh wo jaga eh jahan her dua qabool hoti h phir manzar badalta h or ma ro ro k dua kr ri hoti hn k kaba jaon or yh khyal zehan ma ata h k pehly to kbhi kaba jany k liye itni bechani nhhoi phir manzr badlta h or hmry kuch rishtadar abu k sath room ma bethy hoty hn or sath ma ak islamic sscholar b hotay hn hm behmy kitchen ma un k khana bana ri hoti hn or un scholar ki tareef krti hn phir ma dhoodh ka glass la k sirf abu ko dati hn jab k mri brhn kehti h k tm ny sab ko q nh dia asay to bura lagta h ma kehti ma itna dhodhkahan say laon. Phir sochti hu k agar dhoodh ma pani mila ke day dati to sab ma pura o jata. Please mjhy tabeer bata dain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Hazrat Mufti Sab mera ek khawab hai ke mein kisi aise shakhs se Quraan padh raha hoon k Sirf uski Kalima ki Ungli aur meri ungli uske saath usy Quraan k para hai Woh para mujhe sir itna yaad hai k us para mein Asma-ul-Husna par meine Quraan padha. Jo shaks mujhe padha raha hai woh tu dikhi nahi drahai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main khawab me apne khalu jaan ko apna business plan samaja raha Hun aur wo khus ho rehe hain wo or log ko v ye business k bare me bata rehe hain.. Aur kuch log aa kar muje puch rehe hain me jo business kar raha Hun wos k bare me, iss matlab Kya hai

Khwaab ki ta'beer

Q: Pichle do din se main roz neend main daraawne khwaaab dekh rahi hoon. Pehle bhi main ne aise khwaab dekhe hai lekin pichle do din se yeh khwaab behad daraawne ho gaye hain. Aur yeh khwaab fajar se pehle ya baad main aate hain (ishraq se pehle). Kal raat maine dekha ki main mere ghar waalon ke saath unn ke puraane ghar jaati hoon aur wahaan koi awaaz mujhe yeh bolti hai ki aage ke verandah (porch) ki seedhi pe do keel lage hain unn ko nikaalne se kisi aurat ka kia hua jaadu tumhaare ghar pe khatam ho jaaye ga. main wahaan jaati hoon aur wahaan pe do keel ek ke upar ek lage hue pati hoon. Main un ko zor se kheenchti hoon aur wahaaan se lambe baalon ka ek dher nikalto hai. Main ghar waalon ko bolti hoon aur usi waqt sab ke saamne yeh baalon ka dher apne aap jal jaata hai aur main zor se yeh bolti hoon ki ab hum pe tera jaadu kaam nahi karega. aaaj maine dekha ki humaare ghar main kisi ki faut hoti hai par jab main unn ke paasa gayi toh dekha ki unn ki naak buri tarah se tedhi hogayi hai. Bas yeh dekh ke main jaag gayi. Aise sapne aate rehte hai. kabhi lagta hai koi kaala saaya mujhe maarne mere peeche daud raha hai aur main uss se bhaag rahi hoon. Meharbani kar ke meri madad karein.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine apni shaadi ke liay istikhara kiya. Che days regular do nafil parh kar istikhara ki duya karta tha. Aur 6th raat ko mainay khwab main dekha kay mere saath koi larki hoti hai aur hum andheri galion main kisi restaurant main jatay hain raat kay waqt. Restaurant main sections banay hotay hain different colors kay, lekin main us larki kay saath jiss table/section main jata hoon waha sab kuch surkh (red) hota hai. Un ke paas mashroob hotay hain woh bhi surkh hotay hain buss phir meri aankh khul jati hai fajr ki namaz ke liay. Yeh khwab suraj nikalnay se koi half hour pehle dekha tha mainay fajr kay waqt. Please reply even if you do in a few words, if it is OK to get married to a girl we are looking these days or not.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mery bhai ney khuwab main dekha ke us ke jism se jinnat nikal raha hai koi ungli pakar kar nikal rah hai. Please is ki taber batadain aur meri behan ney khuwab main deakha hai ke us ki mahroom saas bar bar takleef main ati hai khuwab main.

Khwaab ki ta'beer

Q: Aik khwab ki tabeer bataa daen. Please maan apnaa uncle kaa ghar ka pas jaa raha hotaa hoon tu door saa mujhaa aik bagoola nazar aataa haa. Maan logon ko dekhtaa hoon kaa in ko pataa hi nai ka bagola aarahaa haa. Phir marae dil maan khiaal aata haa ka kahiin maan naa koi gunnah tu nahii kiaa aur maan taubaa kartaa hoon. phir maan jaldee jaldee uncle kaa ghar jataa hoon tu dekhtaa hoon ka woh apna ghar maan jaanaa lagtaa haan aur aik kutta ko deekh kar zara door aa jataa haan. Maan un kaa saath khraa hoo jaataa hoon.phir woh doubara ghar jatae haan aur maan bhii un kaa peechaa jaataa hoon tu kutta meree taraf aataa haa.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe ek hi khawab baar Baar dikhta hai. Is khawb ko main takriban das se ziyada maratba dekh chuka hun. Phir abhi tak uska matlab nahi samjh paya hun apse gujarish hai ki aap mere khawab ki tabeer batayen. Mujhe har baar ek shaks dikhai deta hai..kabhi WO mujhe dekh kar muskurata hai to kabhi mujhe dekh kar apna hath hilata hai or har baar ek hi baat sunayi deti hai....WO awaz mere piche se koi deta hai or kehta hai ..ja tera kaam ho gya hai..or han ek baat or bata dena betar samjhta hun WO Jo shaks mujhe dikhte hai WO mere hi mohhale ke hai..per mera unsse kabhi koi talluq nhi raha. Main usko janta tak nahi. Bas unhe aate jaate dekha hai. Mere is khawab ki tabeer bataye please. Allah Hafiz. Dua ki darkhast hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai doctor hu. Mujhey study ka hemesha sai bohat pasand hai. Mene fcps bhi clear kar lia but aik saal hua mujhey kahi job nahi mili. Mai 5 waqt ki namazi parti thi aur Quran bhi Roxana parhti thi but ab bohat bedali sai parhti hu jesay berooh namazai hoti hai. Phelay mai kisi sai nahi larti thi ab mai roz larti hu. Mera dil kisi kam mai nahi lagta. Ami had waqt meri shadi k lie preshan rehti hai aur jab wo mujey kuch bolti hai you mera dil kerta mai kudh kushi kar lu. Mai ratoo ko dar jati hu aur phr sari raat jagti hu aur din mai soti. Much arsa phelay mai nai khwab dekha k mai aur meri sisters khel rahai sehan mai..aik dam laal andhi at I aur Sara ghar uthal puthal kar daiti ...thori dair baad mai daikhti k Ami bahir ati you meri sisters ka kisi k tang tooti hai aur Sab zakhmi hai mearay elawa koi bhi theek nai. Phr mai bolti mai manhoos hu is ghar k lie Sab meri waja sai hua mai mar kuo nahi jati. Mujhey bohat preshani ho rai khwab kabi kisi ko Mara hua dekhti kabhi kisi ko. Please help me. Manzil bhi parhti hu but mera damage meray control mai nahi rehta ulta seedha sochti rehti.