Khwaabo ki Ta'beer

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe khwaab aya jis may meri mother meri sister hoti. Meri mother kehti asman py suraj ko dakho us may quran paak ke haroof nazar ay gy or dua mango gi qabol ho gi asman may surj kabi kisi side kbi kisi side py dekhti ho may or jb hr tarf dorben sy dakhti to mjy quran ke harof nazr aty jo k bohtttt zada chamk rahy hoty mash Allah. Asy jasy gold ke bany harof ho asi chamk may kbi ni dakhi bhttt zada chamk mama mujy tab khti ke dua mang lo. May mang lati ho. Please is ki taber bataya mjy.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai nai kuch din pehley bi aap sey aik khawab ki tabeer poochi thi. Khawab yeh tha key mujey apney ghar key bahir chand par Muhammad likha dikhai aur phir assman par surrah yaseen ki pehli kuch ayat likhi jati hai. Mufti Sahib mai bohat gunahgar insaaan hoo. Aur kuch dino sey Allah Tallah sey mai roh roh kar apney gunaho ki toba kar raha hoo. Aap bi mere liye dua kijiye. Mai nai aaj raat ko aik aur khawab dekha hey. Fajar ka time tha aur mai ney dekha key hamarey mohalley mai koi fotgi hai ya koi khatam shareef hey. Waha kuch logo ney mujey bataiya key waha khazoor pak Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) bi aiye huwey hai aur woh aik kamrey mai logo key saath red color ki pagri pehney huwey hai. Mai waha gaiya par mujey koi bi red pagri wala nehi dikha to mai nai aik shakhs sey poocha key hazoor pak kaha hey to uss ney kaha wo to upper kamrey mai araam kar rahey hai. mai ney us shakhs sey kaha key un ko neechey bulaiye ta key mai bi deedar kar sakoo. Thori dair key baad mai dekhta hoo key aik darwazey par mai khara hoo aur wo darwaza khutal hey aur aap seeriyo par kharey hai safaid kaprey aur sabz rang ki pargi pahney huwey neechey utar rahey hey. aur bilkul jawan dikh rahey hai. ronari chehra aur chamak key satth. par mujey ab woh chehra mubarak bilkul yaad nehi. aap neechey utartey huwey mujey kehtey hai mera haath pakar kar utaro. to mai un ta haath pakrta hoo aur woh jumb laga daitey hai. aur mai un ko apney seeney par utha laita hoo aur un ko girney nehi daita. aur mai dekhta hoo key wo kafi choti umar key dekhai deh rahey hai. mai un ko seeney sey laga kar rota hoo aur kehta hoo kai mai aap ko nehi chooroo ga bs pehley muj sey wada karey kai aap mujey jannat mai lai kar jaiye gai. to wo kehtey hai mai nai wada kiya. mai teen baar rotey huwey poochta hoo aur woh kehtey hai mai ney wada kiya. bs us key baad mai un ko apney seeney sey juda karta hoo aur wo baki log ki taraf chaley jatey hai. Ya Hazrat. mai to bara gunah gaaar admi hoo. Ya Allah Meri Toba. Ya Allah Tera Karam Tera Fazal , Teri Rehmat ka talabgaar hoo. Plz mujey is ki tabeer bataiye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujy apny khwaab ke tabeer puchni hai. "Ma aik ghar may mehfil naat py gae hue hoti hun aakhir may darood o salam parhti in to jab ghar atla rhe hoti hun to andhaira cha chuka hota ha mara ghar teesri gali may hota ha ma jasy e aik masjid ke pas phnchti hun to agay aik safaid or kaaly rang ke gaye (cow) khari hoti ha jiski aankhain surkh hoti hain. Wo meri tarf bhaag ke ati ha mjy maarny ke liay to ma uski naak py hath marti hun to wo bhaag jati hai". Phir meri aankh khul jati ha. Baraye mehrbani tabeer bta dyn.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene kuch din pehle wazefa kia tha ayk larke se nikaah karne ke li. Wazifa 12 din ka tha our 12 din bad raat ko mene khuwab dhekha ke me 1 train me hun our apne manzil ke taraf jana chahta hun. Us train me mene logon se poocha ke ye train kahan jae ge un logon me se kisi ne jawab na dia sirf ayk ne jawab dia ke ye train ap ke gaon jae ge. Me train me beth gaya our wo train road pe chal rahe the bech me mera cousin aaya to train rukke nai us ke oopar chal gae. Per wo mara nai aakhir kar me apni manzil ke taraf phunch gaya. mufti sahab ap mehrbani karke reply dena.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ney aik khawab ki tabeer poochni hey. Mai ney kal raat ko khawab mey dekha key aik khoobsoorat dark brown color ka ghora (Horse) jis ki kali lambi aur khoobsoorat dum thi woh kahi aasmaaan sey hamari chat (roof) par aiya hey aur mey aik side par door khara usey khairangi sey usey dekh raha hoo. Is khawab ki tabeer bata di jiye please.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine kal rat takriban do baje ek khaawb dekha hai key ek bille dour (running) kar mere taraf aye toh mene osku bahat mare toh chale gaye. Phir wo maire samne se dour kar chale gaye. Is khawb ka matlab kya hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai apney aik khawab ki tabeer janna chahta hoo. Khawab yeh tha key mai ney dekha key mai apney ghar key bahir khara hoo. Raat ka waqt tha. Aur jab mai ney aasmaan ki taraf dekha to 14 ka chaan chamak raha tha. Achanak chand ki roshi aur taiz ho gai . chand aur ziada chamkney lag gaiya aur chand key dermiyan mai muhammad likha giaya. Mai ney saaf dekha key chand ki roshni mey muhammad ward chand key uper likha huwa tha aur poora chand chamak raha tha aur muhammad ward bhi. Aur phir yeh chamak aur roshni chand key uper asman per phailti gai aur mai ney dekha key asmaan per isi roshi mey kuch arabi ayaat likhi ja rehi hey. jb mai ne ghor kia key yeh kia likha huwa hey to yeh surrah yaseen ki kuch ayaat thi. jo asmaan par safaid chamakti hoi roshni mai likhi hoi thi. Chand par khoobsoorat muhammad likha huwa tha aur chand key uper asmaan par surrah yaseen ki kuch ayaaat thi. Bs itney mey hi meri aaankh khul gai. Meri ankh sey to is khawab ka nazara aur wo chamak abi tak nehi ja rehi. Mai aur mere maa baap qurbaan mere Aqa Hazrat Muhammmad (Sallallahu Alayhi Wasallam) par. Ameen Barai Meherbai is khawab ki tabeer jeld sey jeld bata dai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri dost ne khuwab mein dekha ke us ne kheer bnayi hai aur uski do dosten wahan 3 seater sofa pe bethi hen us mein ek koney py usko lagta he mein bethi hun jabk usko nazar uski friend jo america wali hoti hy us friend ko wo ek kheer ki payali deti hy mjh smjh k wo kheer ki payali goud mein gir jati hy mein wo kheer utha k khaane lgti hun. sofa k dosrey koney mein hamari dosri dost hoti hy uska nam s sy shuru hota hy wo kheer ki payali apny hisey ki us s wali dost ko deti hy wo s wali dost jaise kheer mu mein khane ko daalti hy wo kheer sufaid sy kaali hojati he. Mujhe us khuwaab ki tabir bata dien.