Khwaabo ki Ta'beer

Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne 6 saal pehle ayk khwab dekha tha muje plz us ki tabeer bta dejiye. Main Raat ke waqt ghar ki chat pe hoon dekhta hoon ke achanak asmaan pe Qurani Ayaat ki tehreer zahir hoti hai jo apni teen lines wale border main mojood hai aur sab noori hain, lakin wo muje dikh nahi rahi phir wo mere zyada qareeb aati hain ke main parh sakoon thora ghor krne se muje teeno maloom ho jati hain phir dekhta hoon ke shimaal ki tarf se ayk gift wala box ooper se meri tarf aa raha hai aur chat pe thehr jata hai main thora dar ke neeche chalay jata hoon. Phir main ooper ja ke dekhta hoon ke kya aaya hai to ooper wali last seeri pe ik purriya milti hai. Main use kholta hoon to us main kuch yellow colour ka powder sa hai jo mere hathon pe hood he ulat jata hai jis se mere hath jal jate hain aur us se muje boht takleef hoti hai aur us se main boht sust aur nadhaal sa ho jata hoon phir muje yaad ata hai ke muje wo Ayaat mili thi to main wo parhta hoon. First Allah ka naam parhta hoon to mera dimaagh theek ho jata hai. Second aayt parhta hoon to neeche ka jism theek ho jata hai phir main kehta hoon ke main jitna zyada vird karoon ga uta zyada theek ho jaoon ga, is ke baad main dekhta hoon ke shimaal ki tarf se neeche zameen se chaar chand ooper asmaan pe aa ke ruk jate hain aur in ke darmiyaan thora thora fasla hai jin main 2 straight aur 2 thora kham khaye huwe hain jaisa ke koi aadmi kisi ko jhuk ke adaab karta hai aur ye chand roshan nahi hain balke bujhe bujhe hain peelahat wale, main in ko dekh kar soch raha hoon ye kya hain to is ke bad meri aankh khul jati hai aur jab aankh khulti hai to main wohi ayaat ka wird kar raha hota hoon. Please mere is khawab ki tabeer bata dein.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti sahab meri ammi ne kuch din pehle ek khwaab dekha jisme unhone apni ammi yani meri naani ko dekha jinka bht saal pehle intikal ho gya h wo aur unke sath meri ammi ki ustaani ji (jinse unhone quran seekha he aur wo bhi ab bht saal pehle intikaal kr chuki h) wo dono (yani meri nani aur meri ammi ki ustaani) meri ammi ke khwab me sath me aayi aur unhone meri ammi se kha ki chlo hum tmhe lene aye h to meri ammi ne unse mana krke kaha ki nhi abhi mere upar bht zimmedariyan h, mere do bachche h hum abhi nhi 15 saal bad chlengy jisko sunkr wo chli gyi). Itna hi khwab he jo meri ammi ko mu zabaani yad he. Agar iski tabeer aap bta de to aapki bhot meherbaani hogi. Allah ta'ala aapko iska ajr de.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ek larki pasand ki thi toh kya woh mere haq me bahtar hai. Janne keliye maine musalsal ayk haftey tak istekhara kiya. In dino me mujhe Jo khwaab aye my unhe samaj nahi saka aap Zara meri madad farmaiye. Pehle khaab me my apne dadi ke Ghar gaya aur mere aankho me aansu thay phir mere chacha ki ladki ro rahi thi toh my ne use god me uthaliya aur ek chota ladka bhi tha jab woh rone laga toh. Us ladki ne use god me uthaliya tha aur woh ladka anjaan tha. Dowsra khwaab me Maine us ladki ko kale kapdo par dekha aur orni hari thi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main apny khawab ki tabeer poochna chahta hn. Main ne apny khawab men dekha k main bike per safer ker rha hn or nahi janta k kahan jarha hn, phir main sochta hn k kisi se pooch lon k lahore jany wala rasta konsa hai, 1 admi se pochta hn k lahore kidr ha wo kehta ha k nahi janta, kisi 2sry se poochta hn k lahore kidr hai to wo mujy rasta btata hai to main kehta hn k acha to yeh rasta hai, main pechy dekhta hn to 1 admi nazar ata hain wo bhi bike per hain, us ne bhi lahore hi jana hota hai to wo bhi yeh bat sun k bike turn kr leta hai, lekin wo rasta lamba ha to main ye sochta hn k yahan kisi hotel men thehr jata hn. Kisi hotel men jata hn to us k mailk se milta hn or sath hi yeh dekhta hn k yahan kisi ki shadi hai to mushkil se hi mujy koi kamra mily ga, lekin hotel ka malik mujy kehta hai k main kuch intezaam kerta hn kuch der bad main apny aapko kamry dekhtahn phir dekhta hn k subah hogai hai or barati or dulha sorhy hain, main yeh sochta hn k mujy yahan ana e nahi chahye tha, phir kuch der baad main apny aap ko lahore ki taraf jany wali gt road per bike chalaty dekhta hn. Mufti sahb barah e karam mujy is khawab ki tabeer bata den. Aapka shukr guzaar honga.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri saas (Mother-in -Law) ne apne khawab me dekha ke mere walid mohtram jo Qaza-i-Allahi se 21-11-2014 ko wafaat pa chukey ha, un se kah rahe hai ke unki beti (yani meri wife) ki almari me unka koi suit nahi rakha hoya ha or bar bar is bat pe zor dey rahe hai ke almari me koi suit nahi rakha ha ap dekh ley. Kindly is ki tabeer bata dey.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri friend dikhne me ziyada achi nahi hai to usko kisi ne ek hazrat ke bare me bataye jo apne ilm se fair karte hai aur jisne bataya wo khud gori hui thi color me. Isliye meri friend ne wo hazrat se contact kari apni aap ko gora karne ke liye. Isliye usne istekhara ki kal raat ko ki yeh kaam karne se wo gori hogi ya nhi. To usko raat me sapna aaya ki koi uska gala daba raha hai uske sine pe bhaitke. Aur jab wo uthi to usko ehsaas ho raha tha koi uska gala dabaya. Is khawb ki tabir aap jald se jald bataye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti gi, me bait ho peer zulfiqar naqshbandi aur un ka khalifa jo makkah rehtay hai. Ma ne dream dehka ka peer zulfiqar saab kharay hai kisi se baat kar raha hai aur mera shiekh hai makkah walay hai wo beta hai aur wo muje eshra kartay hai ka musaafa kar loo peer zulfiqar ss. Ma jata hoo hath milany tu muje rukh detay hai aur bayan shuru kar detay hai aur ma un ka sath beth jata hoo. Phir wo namaz ki niyat bandatay hai tu rash ki waja sa securtiy gaurd muje bhar nikalaty hai aur kafi request us guard ki kar ka wo securtiy wala muje endar namaz parnay deta hai aur phir ma chala jata hoo.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe khwab ki tabeer puchna hai. Meri walida sahiba ne daikha ke mjhe police ne pakra hai aur keh rhy hain k meine gari chori ki hai. Aur wo gari mere se layli hai. Aur kuch din baad mere aik rishtaydar ne daikha ke mei subh late ghr aata hun, sb puchte hain ke mei kidhr tha to mene kaha ke mujhe police ne rok lia tha. Raat tashadud aur tafsheef karty rhy. Mujhe in khwabon ka matlab bata dain.