Khwaabo ki Ta'beer

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai nay khuwab dekha kay mai kisee safar sa wapas etee hun tu Mao dekhti hun kay meri white gari kidhr hai nazar nhi erhi. Phir ek dam sa mujay khubsorat bari white car nazar etee hai aur mai us gari ko pechan jatee hun...Mai meri mother bhee jakar us gari mai Beth jatay haan. Driver humay dekh kar buht khush huta hai. Laikan mujay feel huta hai jasay wo humara driver nhi na gari humari hai.. phir mai apna father ko bhee gari Mai dekhti hun ( un ki death hu chuki hai ) Aur mera bhai bhee huta hai par usay hum kuch cheezain lanay Kay laiy bhaj datay haan. Driver ko bar bar phne erahay hutay haan jasay wo apna malik ko batakar nhi eaya huta tu wo humay tu kuch nhi bulta par gari chala data hai. Aur bhai ka wait nhi karta kiun kay wo humay utar kar wapas chala jay ga...abhi hum thura agay eatay haan tu mai driver ko bulti hun app idhr thura wait karlean bhai ko Mai bulti hun kay idhr eajean. Phir unhay saath betha leangay. Par wo driver bulta hai nhi app mujay batean hum wapas unhay lanay chaltay haan. Aur phir gari mur latay haan. Jo thura buht mujay yaad hai according to that Kio Banda mujay pasand karta huta hai, aur us nay Mera ghar rishta bhee bhaja huta hai aur wo kafi rich bhee huta hai ..wo Mera laiy ya gari Aur driver bhajwata hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab dekha ki mai aur meri family abbu ko chodh kar kahi se travel kar rahe the. Car koi lady drive kar rhi thi. Achanak road forest me change ho gaya aur 1 peacock baar baar car ke samne ara tha...aisa laga ke uska car se accident ho jae ga par wo sahi salamat tha humlog ko dar lagi ke kya ho raha hai to jo lady drive kar rhi thi wo boli aage masjid hai waha chalo humlog masjid me gae maulana ko puri baat batae to wo bole tum log mese kisi par kuch hai...tum log kalma padho jo ruka us par kuch hai sab kalma padhre the aur mai padhte padhte ruk gai to maulana ammi ko bole is bacchi par kuch hai aur mujhe bole continue padhte raho wo nikal jaegi mai kalma padh hi rahi thi ke mere face ka colour change hone laga aur wo mere ander se nikal kar bahar aagai aur boli ab padh kar bata aur maulana bole the padhte raho mai padh hi rahi thi to usne mere face par womet (ulti) kardi aur maulana dua ka pani face par daale to jala hua face sahi hogaya fir mai padhi fir wo kardi aur boli tu bahot khubsurat dikhti haina fir maulana pani daale aur kuch dua padhe to sab sahi hogaya aur wo chali gai! Mujhe iski ta'abir chahiye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne raat ku khawab ma dekha ha ke mery walda jo k fote ho chuki ha khawab ma wo zinda ha ghar ma ghoom phir rahi ma or keh rehy ha ka mery bahi ka khatana karrwana ha mery bahi ke umer 35 year tk ha gair shadi shuda ha khawab m be wo itna he nazar a raha ha jitna ka haqiaqt ma ha. Mehrbani kr ka khawab ke tabeer bata dejy.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy aik khawab ke tabeer maloom kerni hay "Mny khwab main dekha k main hamila hn ar bachy ke padaish ho ri hy, aik aurat khti hay agr bacha bahir nahe aa raha to zabrdst na kro, yh log kuch medicine den gy to asani peda ho jae g (haqeeqat mn abhi mn unmarried hn)"

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khawb mai shadi dekhi jis mai dulhan ko mai nahi janti na hi koi dulha dekhta hai lekin meri behn aur ek phupaaa hotay hai rukhsati horhi hoti hai aur meri behn aur phupaaa bht rotay hai mere papa ko yad krke jinki death hogai hai aur dulhan bhi apni ami se milke roti hai q k rukhsati horhi hoti hai mai bht pareshan hu iski tabeer batade.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meine khwab mein dekha ki mujhe ek pyari beti huvi hai itni khubsurat hai usko blue aur white phul ka drs pehenke hai aur jhule mek so rahi hai chehra itna ronak dar, mere behen hai saath mein papa hai. Meri behn bi hai, babies jo muh se nikalte na khana khane ke baad wo niklta hai uske muh se halka se, phir mein apni goad mein uthati hun aur bolti hun mera bacha kitna pyara hai. Yea khwab do peher ke waqt aya hai aur mujhe bohot acha feel hora, jab ki meri shadi abi nai huvi hai mera khula huva hai, mufti saab ap please is khwab ki tabeer batadijyea. 

Khwaab ki ta'beer

Q: Aaj subah maine khwab me dekha k meri choti began jiski death ho gayi hai real life me woh zinda thi aur uske forehead se chere pe khoon beh me lava thoda der behkar band ho gaya aur khwab me aisa laga k usko bimaari ka sahi ilaj nahi mila toh uski death ho gayi aur phir mere bhi forehead se poore chehre par khoon behne laga thodi der behkar band ho gaya aur mere chehre par halki si nahi k barabar khoon ki redness thi.