Naseehat

Waalidayn ke liye du`aa-e-maghfirat

Q: Meray walid ka kuch din pehlay intiqal ho gaya. Main nay un ki na farmani to nahin ki lekin aakhri dinon main un ki dekh bhaal main kafi kotahiyan huin. Kia yeh cheez na farmani kay zumray main aati hay. Agar cheh meray walid mujh se naraz nahin thay. Lekin agar unhon ne narazgi apne dil main rakhi to kia meray liye muafi ka koi tareeka ho sakta hay. main kia karoon k is cheez ka kaffara ada ho jae?

Bure khayalat or waswase se backne ke lia naseehat

Q: Me 23 saal ki hone wali hu meri ammi mere lye bht pareshan rehti hu. Meri Shaadi ke lye or ma khud bhi sochti rehti hu jisne mje Jo wazifa
karne ka bataya ma wo parhti hu ap mje kuch aisa bata den ke ma uska wird karti rahun subho shaam taky mere zehn ma bure khayalat or waswase na ain or Allah Ta'ala meri jald sunn Len. Me apki bht Shukar guzar honge.

Behnoi kisi aur larki ke sath he

Q: Mery behnoi kisi aur girl k sath hoty hain. Meri behn namazi aur parhezgar ha. Magar us ka husband kisi aur k sath din rat aur shayad zina bhi karta he. Meri behn din rat aag ke sholo ma reh rhe ha. Wo ghar basana chahti ha. Please kuch btayein plz kya krein. Sabar to kar rhe ha meri behn. Bohot  pareshan hain. Mery behnoi kasy hidayat payein gy? Khud bhi dua karein aur kuch hamein bhi btayein ke kya krein? 

Bure Khiyaalaat

Q: Main ap ko ab apna pura masla battata hun. Aj sae 6 months phalae meraee walda kee death ho gayee thee. Meraee walda kee last year chuklaee kee hadee toot gayee thee, uss kaee bad wo bed paee aya gayee theine, unn ko dill ka meraze bhaee tha aur depression kee patient bhaee thinee. unhow nae zingee main dilchaspee lanee chorr dee huae thee aur wo khanna khanee main bhaee interest nahee latinee thaine. jab unn kee chuklaee kee haddae break huae tu main nae aur maree walad sahab naee unn kee har tarah sae care kee. lekin bazee dafa hamee unn sae sekhtaee karnee partee thee kyun kae unn ka khuch bhee karne par dill nahee karta tha. 23 may 2013 ko un tezz bukhar hua, main nae unn ko medicine bhae dee aur injection bhaee lagya aur thandaee pani kee patyiane bhaee khanee, lekin bukhar nahee utra, main samjah kae ordinary temperature hae uttar jayee ga, lekin wo na utra aur 300 pm par walda ka achannak sanns ukhar gaya lekin mujhay uss waqat bhaee samjh nahee ayaee kae unn ko heart attach 
hua hae, main yeh hee samjhta raha kae unn kee yeh halat bukhar kee waja sae hae aur wo jald theek ho jayinee gee, lekin assa khuch na hua. ham forighen unn ko hospital lae gayaee. wahan unn ka treetment shru hua, main uss waqat bhaee yeh samjhta raha ke walda theek ho jayinee gee, phir doctor nae mujhae bulya aur kaha kae ap dua karin ka ap kee walda batch jayinee lekin wo nahee batchanee gee unn kae batchnaee ka koe chance nahee, main nae junnu hee yeh sunna ronna shru kae dia aur merae dil main yeh khayalat anee shru ho gayaee kae theek hae amee aj hee fuat hoo jayinee, yeh gam jo main nae kal dekhna hae aj dekh leta, mujhaee ussee waqat yeh khayal bhaee aya amee ko bhut takleef thee unn ko isss sae nijatt mil gayaee hae, uss waqat mujhay yeh khyal bhaee aya kae main nae tu unn kee bhut khaidmat kee hae baqee allah kee marzee, ussee waqat mujhay yeh bhaee khyal aya kae meree zamindaree khatam ho gayee hae ab main apnee baqee kam karon ga jaisae main phd kar raha tha lekin walda kee tabiat kharab honaee kee waja sae main nae ussae chorr dia tha. main uss waqat roo bhaee raha tha aur maree andar yeh bhaee feeling thainee kae yeh theek hoo gya hae, phir main bhar aa kae beth gaya, meraee dil kee halat uss waqat ajeeb see thee, main khuch bae hisse ho gaya tha aur meraee 
feeling khuch iss tarah kee thee kae main yeh chha raha tha kae walda fuat hoo jayinee kyun kae wo jitnee bemar hain woo bilkuk hill jul nahee payinee gee. phir doctor nae mujhaee bulya aur kaha kae ap kee walda kee death hoo gayee hae joo kae main chha raha tha.. merree yeh kaffeyat uss waqt tak rahee jab tak main nae walda ko dafna nahee dia. walda ko dafnanee kae forighn bad mujhae assa laga kae merea bhut bara nuqsan hoo gaya hae, aur mujhaee laga jassae main khossh main aya gayya hun, uss kae bad mujhay apna ap itnna ghatia laga kae mujhaee apnee walda kae liaee assae khaylat kassee aa gayae jiss kae liaee main jan bhaee qurban kar sakta hun. mujhay yeh khayalat har waqat ahhasas gunnah ka ahhas delataee rehatain hain, mujhay yaqeen nahee ata kae yeh khaylat mujhay kasse aa saktae hain apnee walada kae baree main. kissi waqat mujhaee itna ahassas gunnah hota hae kae mera dil karta hae kae main khudkussi kar lun, mujhay assae lagta hae kae mujhay allah talh aur walda muaf nahee karine gaye, inn khayalat kee waja sae main shadeed depression main chala gaya hun. mera koe kam karnee paar dil nahee karta , meraee dil par bhut bhoj hae kissae waqat mujhay yeh khayalat intnae ziada attae hain kae mujhay assa lagta hae jaissae mera demag phat jaye ga aur merea dil phat jayae ga, mufti sahab kindly mujhay batiene main kya karon, mujhay har waqat walada yad attee rehtee hain, ek second kae liae mera demag unn kee yad sae khallee nahee hota, jis din wo fuat huaee theinee uss din ka e khyalat har waqat mereae demag main attae rehataine hain. meraee andar bhut zizda ahhass gunnha aur shimindagee hae, mufti sahab mujhay guide karein kae main kya karon main kassae inn khaylat sae chhutkara hassl karon, main bhut mushkal main hun iss waja sae mera koe kam karnee par dil nahee karta, mujhay assa lagta hae allah talah mujhay sazza dain rahee hain. mufti sahab mujahe guide karine main kya karon kae allah talah mujhae muaf kar dain aur maree walda bhae, please maree mail ka zaroor jawab digiaee ga main ap ka bhut shukkar guzar hun ga. main ap kae reply ka intazzar karon ga.

Biwi owr ma ke darmiyaan jagra

Q: Main India se hu or mera sawal hai ke meri shaadi oct 2013 me hui Or maine istekhara bhi kiya tha jisme pehle 2 baar mujhe aisa feel hua k Jawab haan hai, jaise k maine apne aap ko aise dekha k main us ladki k sath Baitha hu us k ghar me, or us ne white duppatta pehna tha, or waisa he milta Julta mere sath us waqt hua jab main use dekhne us k ghar gaya. Ab meri maa gharelu jhagro se kehti hai k teri biwi ki zaban achi nahi hai us Ko talaq de de, Jab k maine dekha hai k wo kutch nahi bolti thi, Jab jhagra bohot badh gaya (takriban 2 months continue) tab meri biwi ne Zaban kholi or wo bhi ammi ke khilaf nahi tha bas wo samjha rahi thi. Meri Wife ka irada kabhi alag hone ka nahi tha, allah gawah hai is baat ka, leking Halat aise hue k alag hona pada. Or us beech meri choti behen ne us k sath galat tarike se baat ki or galat Alfaz istemal kiye jis ki waja se rooz jhagde hone lage, Maine 26/01/14 ko meri wife ko alag kamre main jo k mere ghar k kareeb hai Wahan rakh diya, Magar meri ammi bazid hai k main usko talaq de du or mujhse bhi bohot bohot Naraz hai. Haqiqat ye hai k main ammi ko dukh nahi dena chahta lekin jo ladki mere sath Nikah me hai main uska bhi gunahgar ho jaunga. Agar main usko ek mauka nahi dunga to mujhe apni akhirat ka dar hai ke pata Nahi mere sath kya hoga. Ab meri maa 2 din se mujhse bohot naraz hai or mere sath pure ghar walo ne Rishta tod liya hai. Kya maine galat kiya? Kya main gunahgar ho gaya? Kya main talaq de du? Kya meri maa ki badd-dua mujhe lagegi? Meri akhirat ka kya hoga mere is faisle se? Kya main rooz ghar jaunga to acha hai ya main nahi jau? Kyuki agar jata hu to maa bohot gussa karti hai or na jau to sochegi k biwi Ka ho gaya, Meri jald se jald rehnumayi farmae or dua kare k sab kutch acha ho jae.

Gunaah karne ke ba'd towbah

Q: Mera sawaal ye hai ke may ne apne bhai ke saamne apni bivi ki bohat burai kar diya tha ke woh kaam nahi karti or bohat bay dhangi hay or isi tara ki or bohat gheebat kia thha us ke bare may lakan bole dane ke baad may ne realize kia ke mujhe ye sab us ko nahi bolna chaiye tha may ne us ko mana kia ke kisi ke samne mut bolo laken us ne apni bivi ko bata dia, mujhe bohat guilty feel hoa to may ne apni bivi ko bata dia ke may ne tumarhi buraayan us ke saamne kia hon or yeh ke mujh se galaati ho gai hay, tum mujhe maaf kar do may kabhi  dobaara aisa nahi karoonga or Allah say bhi maafi manga, ye ho kar koi 2-3 saal ho gai hay leken mujhe ek sudme ke jaisa ho gia hai, ke abhi tak bohat duukh hoya hai who baat ko soonj kar. Kia is ki koi talaafi hay ya yeh kay sirf sabar karna chaiye? Is bare may marey rahnumai farmaiye.