Q: Mera sawal yeh hai ke mere husband har chotti chotti si argument pe mujhe chorne ki baat karte hain. Hamari har waqt arguments hoti hain aur wo apne bhai ko saath rakhna chahate hain aur main unke bhai (na mahram) ke saath ek ghar main nahi rahna chahati to wo mujhe yeh kahte hain agar main nahi rah sakti to main alag hojaon unse. Ham states main rahte hain aur apartment main mere husband ghar main move hona chahate hain kyonke unhe dogs breeding karni hai, per hamare abhi aysi halaat nahi hain ke ham house afford kar sakain tabhi wo apne bhai ko rakhna chahate hain so he can help to pay the rent. Is surat main mujhe kya karna chahiye main koi galat faisla nahi lena chahati ke Allah ki nazar main gunah gaar hojaon. Please help me and advice me islam ki roshni main.