Haiz, Istihaazah owr Nifaas

Haidh ka masla

Q: Meri umar 53 saal ha mujy 5 maheny bad haiz huy hain or 20 din say bleeding ho rahe ha. Pehly 10 12 din zayada bleeding hue ha magar ab kuch din say kabi kabi thore se bleeding ho jate ha magr mukamal khatam nai hote bray mehrbani mujy bta dain kya ye noraml ha? Koi pareshani ke bat to nahe? Kya main namaz parh sakte hun ? Owr haiz khatam hony ke umar kya ha bray mehrbani bta dain shukriya owr ye bhi bata dain ke mujy doctor ko check karwany ke zarorat to nahe?

Abortion ke bad koon

Q: Mera aap se sawal he k maen 6 weeks pregnent thi. Mere last menses date 27-11-2013 thi december main mere periods nhi huy mera pregnency test positive tha. Lekin 8th  january ko mujy soppting hui doctor ne abortion krwany ka kaha maen ne 14th january tk wait kiya aur 14th ko abortion krva liya. Ab maen ne umraha ke liye jana hy 1 february ko. Lekin bleeding abhi tak stop nhi hui. Kya yeh bleeding nifaas ke zimrah main aaye gi ya istihaaza? Mera aap se yeh sawal hy kya maen umrah ada kr sakti hon?