Dua owr Zikr

Dua-e-qada, dua-e-noor, dua ganjul arsh, waghairah

Q: Main kuch dua k bary main janana chati hoon k yeh dua saheeh hadees say sabet hain k nahe, dua qadah (es dua k bary main likha hota hai k yeh Hazrat Anas radhiyallahu anhu ne rewayat ki hai lakin yeh hawala nahe likha hota k yeh hadees ki konsi books say li gae hai) dua noor, dua ghanjul arsh, dua ayame bazul mukaram, dua saifi, dua mustijab, dua jameela etc. In dua main say konsi dua hadees say sabit hai?

Tawassul se dua maangna

Q: Main Rabb sy apni muhabbat k liay dua mangta hun to dua ma Rabb e Ta'ala ko usk Mehboob Madani sallallahu alaihi wasallam ki kasam or waasta deta hun. kbhi mery alfaaz is muqaaam tak ja phnchty hen jab ma Khuda paa ko ye b kehta hu k Rabb e Ta'ala apny Mehboob Madani sallallahu alaihi wasallam sy apni muhabbat k sadky ye dua sun ly or apni muhabbat ko phr sy zahir kar. kbhi aesy alfaz b hoty hen k Rabba tuny apny Mehboob ko Arsh pr b bula lia to ma tery Mehboob Madani sallallahu alaihi wasallam ka ummati hu jis sy tery Mehboob ko muhabbat ha. us Mehboob ki muhabbat k tufail ata kar... mery alfaaz khin kufr ki trf to nhi jaaty?