Qasam owr mannat

Awlaad ko darbar pe denge ki mannat

Q: 10 12 sal phly ki bat ha tb main college mein prhti thi. eak dost k galt character ki wja se meri zindgi mein bht sangeen masla paida ho geya tha. to tb ma ny manat k tor pey ye lafz boly thy k shadi key bad jo phli olad ho gi ma use shah dowla drbar pe dun gi jo gujrat me drbar ha. shadi se phly phr mje 1 din khawab me dkha k jis jga drbar ha. whn 1 bazurg or us k sath eak aurat thi wo us jga lety huy hn or ma nichy baithi hui hun unk pas to wo mje bolty hn key Allah tume bht rang lagaey ga or phla tume beta dy ga. pr usk dood pilai k paise hme dy k jany hn ab shadi ko 5 saal ho gy hn . olad abi tak nahi ha. drbar pe ja key un se mafi bhi mangi thi. or Allah tala se b mafi mangti hun. such puchein to us wqt olad kea cheez ha itni smj nai thi. tb aise bola tha ye lafz istemal kiy thy. k phli olad ko shahdowla drbar pe dun gi. ap mje bataein kea kru? kea aise manat manna thk ha?? kea manat wapas li ja skti ha. agr han to uska trika bta den. ya meri rehnumai kren. Allah apko eska ajar dy ga. meri preshani dor frma den.

Qasam torna

Q:

1. Agr koi unmarried boy kisi ladki se pyar krta ho aur kasam khaye k uske alawa kisi se shadi ni krega pr bad me wo kisi aur se shadi krle to kya uski shadi sahi hogi?

2. Koi shakhs Allah Quran ki kasam kha kr ye bole k agr mene ye kam kiya to meri hone wali biwi mujh pr haram ho jayegi (jisse us ladke ki shadi honi h uska name lekr bole) aur wo shakhs us kam ko krleta h to kya ab uski hone wali biwi us pr haram hogai? Wo usse shadi kaise kre ab dono mamlato pr alag alag roshni daliyega

Qasam ko torna

Q: Phlay main us insan se naraz thi bht baat b nai karna chahti thi but aapi se baat kartay huay main ne kasam utha li wo b Allah Paak ki k ab unse baat nai krungi. Main tens thi bht kaifiyat ka nai pata meri but main bht zada tens thi. Mjhe batain kia wo kasam jaiz hai agar jaiz hai to kia kafara hoga?

Qasam torna

Q: Mera sawal ye hai k 4 saal pehle mje aik larke ne kaha tha k wo mje pasand karta hai, mere sath class me parta tha, wo mujhse baat karna chahta tha.. Pasand to mje b wo tha par me aese larkon se baat karna us waqt sahi nh samajhti thi mje ye maloom tha k Allah ko naraz kiya to wese hi kuch nh milna..agar uski maan li to uski rehmat se umeed hai k nawaz de ga...mene usey kaha k khuda ki qasam me apse 3 saal baad baat karungi...usne itna kaha tha k me intezar karonga... Me medical k frst year me thi tub mene ye souch k qasam khayi thi k 3 saal baad me apne maa baap se iske barey me baat karungi to achi b lagon gi...lekin usko yehi kaha tha k me 3 saal baad apse baat karungi.. 2 saal guzar gaye uska koi ata pata na tha, achanak mene usko aik jaga dekha usne darhi rakhi hui thi phr pata laga tableegh me lag gya tha...aas paas k logon se uski bari naik naami suni... Phr Allah ne mje hidayat di, haram halaal ka farq samajh aya..3 saal guzar gaye...wada pora karne