Qasam owr mannat

Kisi ko qasam khaane par majboor karna

Q: Agar koi aap se zabardasti Quran ki kasam khilwaye ke aaj ke bad ye kaam nahi karna jab ke samne wala insan kasam khane ke liye taiyyar na ho or kasam kha ke wo bat ni karna chah raha ho phir bhi usko majbur kar ke Quran ki kasam khilwayi jaye to kiya us kasam pe amal karna zaroori hoga? Kyun ke mujhe har choti bat pe Quran ki kasam khilwai jati ha zabardasti un baton pe jis pe me amal ni karsakti pabandi se. 

Bila qasd jhooti qasam khana

Q: Mene ek picture delete kari thi apne mobile se to uspe mere fiance ne mujhse pucha ke kia tumne koi picture delete ki thi apne mobile se to mene uspe Quran ki qasam kha li ke ni mene kuch bi delete nahi kia. Phir qasam khate hue mujhe ye baat yaad nahi rahi ke mene eik picture delete ki thi qasam khate huwe ye baat mere zehan se hi nikal gai or mujhe baad me ye baat yaad aayi aur ab mujhe bohot ghabrahat hora hi hai. Iska koi hal bataen k ab me kia karun jisse mera bojh halka hosake?

Qasam torne ka kaffaarah

Q:

1. Maine nafal prh kr dua main Allah Paak ki kasam khai thi k ye gunaah nhi krunga aur us par pura nhi utar paa rha mushkil horha hy to is halat main kia kafara hy?

2. Aur aik bar Allah Paak ki kasam khai ya bar bar khai ho kafara aik hi dafa de skty hyn sab ka?