Published 9 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Fajr ka waqt ka kis tarah se pata lagaya jata he? Kab shuru huwa he aur kab khatam? Ayk aam banda Aasman ki taraf dekh kar kis tarah andaza laga sakta he ke fajr ka waqt abi baaqi he?
A: Subah saadiq ke aane par Fajar ka waqt shuru' hota he. Subah saadiq us rowshni ku kehte he jo aasmaan ke mashriqi jaanib se zaahir hoti he owr phir phelna shuro' hoti he owr aahista aahista aasmaan ke chowraai me barti jaati he. Owr tuloo'-e-aaftaab se fajar ka waqt khatam hota he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: