Q: I am Sunni. Me ayk larki se shaadi karna chahta hun. Wo log bohot ache hain. Phir wo log shia hain. Kya shia larki se shaadi karna jaez hay? Kya shia aur sunni ke darmyaan shadi hosakti hay? Kya shia ko sunni bana kar shadi kya ja sakta hay ya is ke elawa aur koi tareeqa hay? Tafseel me bataen?
A: Shia log umooman Quraan Shareef ke andar tahreef karte he, aur ye imaan rakhte he ke Quraan Shareef jis tarah munazzal minas sama tha us tarah mahfooz nahi. Neez, Sahaabah-e-kiraam (radhiyallahu anhum) ki tanqeed aur takfeer karte he. Ahlus sunnah wal jamaa'ah ki aqeeda ye he je jo shakhs Quraan Shareef ki eik aayat ko bhi ghalat kahe ya inkaar kare to wo kaafir he. Ayse lowgo se nikaah karna jaaiz nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: