Q: Hum rent house me rehte hn. Mein 1.5 sal se dubai me kam kar ra hu kiyon ke behen, bhai ki shadi k liye qarza liya tha wo ada kar raha hn. Aapni biwi bachon ke liye koi izafi jama ni kar raha hon,or na he itne paise hote hain k wo acha khaey,piye,pehne,nahi,mere ghr k halat abi tk thek ni howe,bht ziada pareshani hy,yahan tk ke main ghr ni ja sakta kiyon k mera apna koi kamra (room)ni hy main ne apna room apne bhai ko de diya ke uski shadi ho gae,bara ghar nahi le skte itni sakat nahi hay hamari,meri biwi tarap rahi hy,mere bache bht be chein hn k main ghar jaon unke pass,meri choti beti to mujh se boht naraz hy ke ap ache nahi hin,ap mere ghar nahi ate,,,,,, ap mujhe mashwara den k mein kia aise he apni biwi bachon se juda rahon,or yahan pardes mn kaam karta rahon. Mere walid to kehte hein ke betathek hay jab asani ho ajana. Kabhi kehte hn ke are aja yahen reh lena jese ham reh rahe hn,,ap khud bataen kese reh sakta hn,2 saal k bad ghr jao us orat ka kia hoga to apne shohar k liye tarapti rahi milne k liye to kia usko koi privecy nahi chahiye hoga.
A: Munaasib he ke aap makaan waapas lot jaaye aur qardh ki adaayegi ki soorato ko talaash karte rahe. Allah aapke liye aasaan farma.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: