Talaaq ke ba'd biwi ku waapas lena

Q: Talaaq ke bad agar ihsas ho ka galt kardiya to kia idat ka doran dobra nikah main aa skty hain?

A: Agar kisi ne ayk ya do talaaq-e-rajee dedi, to iddat ke khatam hone se pehle showhar ku haq he ke wo roju kare owr apni biwi ku apne nikaah me waapas lele. Lekin agar teen talaaq dedi, to showhar apni biwi ku apne nikaah me waapas nahi lesakta he ne iddat ke dowraan me owr ne iddat ke ba'd. Nikaah bilkul tootgaya. Jab tak halaala ne hojae, biwi dowbara khaawind ke lia halaal nahi hogi. Halaal ki tafseel ke lia is link ku dekho http://muftionline.co.za/node/9871

Agar showhar ne ayk ya do talaaq e baain dedi, to nikaah fowran tootjata he. Agar downo miya biwi dowbara milna chahte, to zuroori he ke ayk naya nikaah parhaliya jae owr naya mahr muqarrar kiya jae. Ye naya nikaah iddat ke dowraan me parhaya jaasakta he ya iddat ke ba'd.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)