Published 9 years ago
Last updated 9 years ago
Q: Mera swaal he ke agr aik larka owr lrki khuda ko hazir Jan k khuda ko gwah bna k ye kahen k mujy Tm bivi/shohr k rop ma kbol ho ya ma Allah ko gwah bana ke Tum apna shohr/bivi tsleem krta Hn jb k na to nikah ka khutba prha jae r na e koi insan gwah k tor py mojod ho to kya nikah ho jata h ya nahin?
A: Nikaah ke durust hone ke lia shart ye he ke larki, larka (ya un ke wakeel), owr do Musalmaan gawaah majlis-e-nikaah me mawjood ho owr downo gawaah iyjaab owr qabool ke alfaaz ku sune ayk hi majlis me. Choonke ye sharaait nahi paai gai, to nikaah nahi huwa.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: