Maa baap rishta ko inkaar karna

Q: Me ek ladki ko pasand karta hu, lekin mere ma baap ne uske sath galat kardiye hai. Meri ammi ne usse kuch manga to wo nahi de pai to meri ammi ko laga ki wo jhut bol rahi hai aur mere abba ko wo ladki pasand nahi thi. Abba phele se hi mana kar rahe the shadi ko. Ab ammi bhi usko jhuti samaj ke mana karne lagi. Lekin ladki sach bol rahi thi. Me ammi ko samjane ki bht koshish kiya lekin wo log meri baat maan hi nhi rahe aur dusri taraf se ladki muje baddau de rahi hai ki qayamat me bakhsne nahi dungi. Meri wajah se uski life kharaab ho gai to wo muje jhannam me bhej kee rahegi. Me pareshan hu ek taraf mere ma baap hai aur dusri taraf wo. Ma baap ke dil se utar gaya hu me agr me ma baap ko chunu to wo ladki muje kabhi maaf nahi karegi aur meri pakar hogi aur ladki ko chunnu to ma baap ko taklif dene ka azab. Kya karu kuch samaj nahi raha. Lekin galti mere ammi ki hai aur abba ki hai.

A: Aap pareshaan ne ho. Agar aapke waalidayn kisee saheeh wajah se is rishte ko inkaar karte he to usko chordo. Woh kon hoti he aapko jahannum me bhejne wali, khood uska thikaanah nahi he. Kia usko aakhirat ka thikanah he ke wo kehti he ke aapko jahannum me raseed karegi. Ayse jumle naadaani ke har giz nahi kehni chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)