Chen ke lia wazifa

Q: Mera sawaal ye hai ke raat ko neend nae ati subah dil bechan hota hai hr baat dil py laita hn n os ke gham kam he nahi hota. Koi dhoka day tou raaton ki neend subah ka chen khatam ho gya hai mera dil bas marny ko karta hai zindagi se dil bhar gaya hai. Ap batain Quran o sunat ki roshani me k mn kya karo chan khatam ho gaya hai dil ka.

A: Agar aap Allah Ta'ala ki raza aur khushnoodi chaahte he owr dunya me chen, raahat owr sukoon chahte, to aap ku chaahiye ke aap apne zindagi ku huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaye. Aysi jage ne jaae jaha par mardo owr awrato ka ikhtilaat ho. Apne khandaan walo ke huqooq poora kare owr sab ke saat acha bartaaw owr sulook rakhe. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par Musjid me jamaat ke saat parhne ka ihtimaam kare. Har waqt aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larkiyo owr awrato se. Agar aap nek raaste ke oopar chalen ge aur har waqt ghunnaho se bachenge, to Allah Ta'ala hamesha aap se kush honge owr aap ku har khair se maala maal farmaenge. Panch waqt ki namaaz ke ba'd thowri der ke lia istighfaar kare owr ye dua parhe.

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِى الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِى دِينِى وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِى وَمَالِى

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)