Bacho ko ghar se jaate waqt ek dua parhna
س: کیا بچوں کو گھر سے باہر جاتے وقت ہم یہ دعاء سے رخصت کر سکتے ہیں؟ وَاللہُ یَعْصِمُکَ مِنَ النَّاسِ ۔
س: کیا بچوں کو گھر سے باہر جاتے وقت ہم یہ دعاء سے رخصت کر سکتے ہیں؟ وَاللہُ یَعْصِمُکَ مِنَ النَّاسِ ۔
س: بیماری کی شفایابی کے لیے سورہ فاتحہ الحمدللہ کا بسم اللّٰہ کے کام سے ملانا کیسا ہے۔ اور پڑھنے کا طریقہ کیسا ہےہ
Q: Chehre pe noor aur husband ki pyar pane ki duaa.
Q: Mai Allah se hardam ye dua mangti rehti hoon ke Allah mujhe bohot khubsurat aur nekwakht bana dijiye. Aisi koi wazifa bataye jisse mai bohot khubsurat banjaun chehra aur dil dono tarf se.
Q: Me bohot dua karta hu ke mere kaam ke liye koi zariya banade Allah. Kahi se koi positive vibes nahi mil rahi he bohot rukawate bhi aati he abhi to koi response hi nahi mil raha he. Aap kuch bataye ke Allah mere kaam karwa de.
Q: Mera masla ye he ke jab bhi kisi se baat karti hu to ghabrahat tari ho jati he. Saheeh se baat nahi kar paati. Aur agar naya admi ho to bilkul baat nahi kar paati. Jo kehna chahti hu wo baat nahi nikalti bulke kuch ghalat baat keh deti hu. Phir baad mein sharmindgi hoti hai. Mere liye dua kare aur koi wazeefa batane ki meharbani kare.
Q: Me barso se be rozgar ghoom raha hoo. Sari koshishe bekaar sabit horahi he. Koi rishtedar madad karna to door ki baat he. Kahi se loan ki koi bhi gunjaish nahi. Kiya me apni mushkil kushai ke liye Surah Saffaat ki aayat 76 ka wird uthte baithte kar sakta hu?
Q: Meri 6 maah ki beti doodh peete waqt bahut zid karti hai, bookh b lag rhi hoti hai lekin doodh nahi leti koi wazifa btaen.
Q: Mera masala yeh hai ki jab mein tashahud ke baad salaam pherna chahata hun to meri zubaan usi waqat bandh ho jaati hai. Baraye karam koi dua batayein.
Q: Hamara paisa kisi aadmi ke pass bahot saalo se atka hua hai..hume humara paisa milne mai din pe din taakheer ho raha hai...koi wazifa bataaye jisse humko humara paisa jald mil jaaye