Talaaq ke baare me sawaal

Q: Meri shaadi ko 7 saal ho Gaya hain. Hamari kafi laraiyan hoiyi arguments bhi howay. Aik dafa mary husband nay mujy kaha tha ke agar tum na ya kam Kiya Tu ab aik Tu mujy wo kam nahi yaad or dosra ya b confrom nahi ha k unnu ny ya kaha tha k talaq ho gi ya talaq ha pair aik dafa bola k apni sister k samnay k tum b gawa ho ma issay talaq daita hon Tu unn ki bahan na hath rakh liya ya kafi time pahlay ki baat ha laraiyan hoti rahi aik dafa poucha chaiya doon naam nahi liya kisi cheese ka ma na bolo mujy nahi chaiya Mara dil buht upset ha unn sa baat ki Tu wo bolay Aisa ma na tu kabi ya lafz nahi bola Han ma na tumhein mutnabah kernay ka liya zaror bola kk Karon ga per na ma na kabi kaha ha na hi meri koi neeyat ha un ki sister sa b poucha tu khnay lagi maray samnay ya baat hoiyi thi k Ammi Abu aye in gy Tu faisala kerein ya sari batein 7saal mein hoiyi kuch years ki batein hain ju ab mujy bar bar andher sa pinch ker rahi hain maray husband khtay k tum akaili Muslim nahi hon ma na kabi Aisa kuch bola hi nahi Ty tum kyn kerwany per tuli ho jb k aisi koi baat nahi wo khty hain meri na irada ha na neeyat na hi ma na kabi Aisa kuch kaha tu ab app bateiyein ma kaya karon buht prashan hon mery 2 bachy hain.

A: Jab khaawind talaaq dene se inkaar karta he aur tumhe bhi talaaq yaad nahi to talaaq waaqi nahi huwa. Khushi se raho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)