Khwaab me naachna

Q: Khwaab main khud ko nachtay daikha. Pareshan hun. Kindly bataen kya tabeer hai es khuwab ke ar kya karna chahye agar es ke tabeer ache nahi.

A: Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Neak suhbat ikhtiyaar kare owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (jaise cellphone, internet, TV, waghairah). Ghalat salat qisam ke lowgo se door rahe aur ghayr muslimo ki suhbat se parhez kare. Unke libaas, unke chaal daal, unke rusoom aur riwaaj se door rahe. Isee tarah se unke banaaye video se khusoosan ihtiraaz kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels