Purda ka ihtimaam karna owr mushtabah owr haraam cheezo se parhez karna

Q: Real life mein main job karti hoon aur khwaab mein maine dekha ke main burkhe mein hoon aur office jaane ke liye main bazaar se achche kapde kharidne ke liye idhar udhar ghoom rahi hoon. Itne mein dekhti hoon ke mere marhoom walid mujhe dikhte aur mein unse chup rahi hoon , wo mujhe naqaab mein nahi pehchaan rahe , isliye mein ek dukaan mein chali jaati hoon , wo dukaan ke bahaar khade rahte hai aur main ye soch rahi hoon k kahin ye mujhe pehchaan na lein aur saath na le jaaye.

A: Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram mardo owr larko ke saat purda ka ihtimaam kare. Tamaam qisam ki mushtabah owr haraam cheeazo se parhez kare (jaise cellphone, internet, TV, buri suhbat, waghairah).

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada