Published 9 years ago
Last updated 9 years ago
Q: Mera sawal hai ke agar koi Muslim kisi non-muslim ko namaste kehta hai ya uske namaste kya jawaab deta hai to ye kaisa hai. Aur doosra sawaal ye hai ki agar koi Muslim student kisi teacher ke Pair chhoota hai to ye kaisa hai.
A: 1. Ye jaaiz nahi he. Ye Hindu lowgo ka salaam he. Jab ye Hindu lowgo ka salaam he, to Musalmaan ke lia jaaiz nahi he ke wo is tareeqe se salaam kahe.
2. Ye munaasib nahi he. Apne teacher ka adab owr ihtiraam kare owr un ke saamne zowr se ne bowle.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: