Taweez

Q: Aap se maloom kerna hye ke Islam ma taweezaat wagera haraam hye in ko Pehanaa sahy nahi hay. Agar kisi shakh ki tabyat kharaab ho k wo serious bemar ho or us pe kuch asraat ka muamala ho to wo na chahtey howay bhi Haqeem ke kehnay p un k deye gye taweez ko pehnay or hakeem sab ussy na utarnay ki talqeen kry k issy pehna zaroori hye. Werna asraat gheer len gey or jayegy ni phir. Hakeem sab mery sath ye muamla hye app bataye k amulet pehna sahy ni but easy Surat ma kia kya jaye koi or tareeqa ni huta k humay taweezat na leny parhye .. Hakeem says agar koi banda ziada bimaar ho or koi surat ilaj ki na ho jesy Asraat wagehra k muamlay ma. Hakeem sab says k ye kai kai jayeez hu jatty Hy?

A: Agar taweez ka madmoon jaaiz he jaisa ke Quraan ki aayaat ya Allah Ta'ala ke naamo me se koi naam ya istiaazah ki dua waghairah owr koi najaazi cheez ne ho owr pehne wale ka aqeeda owr yaqeen saheeh ho, owr taweez likhne waala saheeh maqsad ke lia likhe, to pehna jaaiz hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels