Chaand par Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha huwa dekhna

Q: Mai ney kal raat khawab dekha, jo mujey kuch yaad hai aur kuch bhool giaya hai. Par itna yaad hai key mai ney dekha key, chaand par Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha huwa hey aur mai usey dekh raha hu. Takreeben aik saal pehley bhi mai ney aisa hi khawab dekha tha key chand par Muhammad likha huwa hai. Meherbani farma kar tabeer bata dai.

A: Paanch waqt ki namaaz ku apne saheeh waqt par pahne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Issy tarah har kaam ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare owr gunaaho se parhez kare. Allah Ta'ala aap ku kaaimiyaab banaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada