Lowgo ke huqooq ada karna

Q: Mere husband ne khawab dekha hai. Unho ne dekha hai ke humara ghar jal raha hai aur woh aur unke do chotey bhai aag ko bojha rahe hai par koi bahir se aag ghar par throw kar raha hai un ki ammi ka saman bahir nikalte hai tu sab khali hota hai aur woh sochte hai ke ammi ne khali sandok kiyo sambhale hoye hai. Unke sath koi aurbhi hota hai jo aag bojha raha hota hai jab mere husband uper jane lagte hai tu sochte hai ke pase hai mai ghar theek karwa lo ga tu uppar se aik adami utarta hai mere husband ko marne ke liye uss adami ke hatho mai kuch hota hai marne le liye aur uski shakal uss adami ki tarha hai jo agg bojha raha hota hai. Is khawab mai unho ne mera chota beta aur bhai ka beta bhi dekha hai aik aur cheez jo ghar jal raha hai woh hum ne bech diya hoa hai yani ab woh humara ghar nahi hai. Plz is khawab ki tabeer bata de.

A: Lowgo ke huqooq ada karna zuroori he, khsoosan rishtidaaro ke huqooq. Issy tarah paise ke maamle me owr kisi ki wafaat par meerath ke maamle me bohot ihtiyaat karna chahia. Jis aadmi ka jo bhi haq he, us ku apna poora haq ada kare. Allah Ta'ala aapas ke na ittifaaqi, jagre, ranjishe khatam karde owr ulfat owr mahabbat paida farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)