Sunnat ke mutaabiq amal karna

Q: Me eyk ajeeb si situation se guzar rahi hon umeed hai app rehnumai karyngy. Kuch mufti se poocha per satisfy jawab na mila masla yeh hai kafi arsy sy mery sath aesa horha hai ke jo sochti ya jis ka sochti woh hojata ya jis ka sochti woh insan samny ajata chahy woh koi bi ho likin yeh sirf dosron ky bary sochti tu hota meri zaat sy related koi baat poori nai hoti yeh sab samjh sy bahar hai. Meri please meri rehnumai kijiye. Allah app ko dono dunia ma sar khuro kary ameen.

A: Ye koi aisi baat nahi he jis ki wajah se aap ko fikr honi chaahiye. Aap koshish kare ke har waqt aap ka amal Sunnat ke mutaabiq rahe aur aap gunaah se parhez kare. Isi tarah aap ko chaahiye ke aap paanch waqt ki namaaz ko apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare aur tamaam na mahram logo ke saat pardah ka ihtimaam kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada