Mayyit ke lia sawaab phonchaana

Q: Mera sawal yeh hai ke maine Hadith mai para hai ke shab e juma or shab e Eid or her juma ja din momeen ki rohein duniya mai wapas aati hai or apna ghar k bahar aakar khadi ho jate hai,,,or wo yeh kehti hai ki h koi jo hume yaad rakhe to mai apsa puchna chahte hun ki mai apni sauteli maa ka Liya esale sawab kerti hun unka liya sadka bhi deti hun to kya her juma mai unhe pata chalta hoga or kya mare maa ko mera naam bhi bataya jata hoga ki tumhare is beti hai tumhare haq mai esale sawab kiya hai,,,kyunki mai apni sauteli maa sa Bahut pyar kerti hun per Afsos ki baat yeh hai ki mujhe unse pyar abhi hua hai jab wo is duniya mai nahi hai mai bs itna chahte hun ki unhe pata chalta hai ki mai unka liya dua kerti hun Kyunki unki 3 betiya or hai jo unka liya kuch bhi nahi kerti hai isliya mai apsa yeh sawal ker rahe hun plzzzz mare dil ki pareshani ko samjhe aur mujhe sahi jawab de mujhe apka jawab ka intezar rahega. Sur wo mera khwab mai aaye to mujhse kehna lagi ka mujhe bhul na jana mujhe chod mat dena is khwab ka kya matlab hai.

A: Ye baat ghalat he. Hadith me aysa nahi aaya. Hadith Shareef me aay ke jo sawaab mayyit ke lia phonchaejaate to mayyit ku wo sawaab phonchte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)