Showhar ke wafaat ke ba'd showhar ke bete ke saat rehna

Q: Maira swal he h mairay dost ka walid foat ho gay hain. Mairay dost ke mother bhi foat ho gaye hain. Un ke walid ne 2nd marriage ke h jis say shadi ke h us ke pehly khawand say aik beati he. Main ye pouchna chata hn k kia ab mairay dost ke walid ke wafat ke baad un ke wife ka ghar main rehna apni beati ke sath sharae he ya nahe. Que ke jin ke sath rishta tha wo foat ho gy hain to mairay khayal say wo orat aur us ke beati baki ghar walo k leye giar-mehram hain. Beati ke age 20 saal he.

A: Aajkal ke haalaat ke peshe nazar paraya aurat ke saath rehna khatre se khaali nahi. Us se bari kharaabi aur fitnah payda hote he. Aur umoor bohot parhez karna chaahiye ne faqat gunah se balke ayse umoor se jis se bad-gumaani aur bad-naami hojaane ka andesha ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)