Waalida ka ihtiraam owr khidmat karna

Q: Mene khwaab me dekha ke mai apni waalida muhtarama ke sath (jo ke mashallah hayat hai) kahen ja raha hun ke itnai mai mere waalda kisi ghar ke andar dakhil ho jati hai jo ke ghaliban hamarai kiraya dar ke ghar hota hai. Waapsi pai waalda us aurat jin se wo mil kar aye unkai bad akhlaqi ki shikayat kafi relax andaz mei karte hai. Mujh se aur sath me waalda kehte hai k us aurat ne mjhe phchana nahe tabhi bad akhlaqi se pesh aaye, chaltai chaltai achanak mai apnai waakda ki taraf dekhta hun to un k sir pai ghass phus ka kafi bara ghatta rakha hua hai usi wakt mera bara bhai kahen se ajata hai aur barai bhai ke hukm pai me wo ghatta waalda se le leta hun lekin uska wazan naqabil e bardasht hota hai wo mjh se uthaya he nahe jata uskai baad kch yaad nahe shayad manzar ghayab ho gaya tha!

A: Hamesha waalida ka ihtiraam kare owr us ki khidmat kare. Jab un se baat kare, to narmi ke saat un se baat kare owr hamesha un ku khush rakhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada