Istikhaara ka maqsad

Q: Maine istekhara kiya tha kyunki mere fiancee ka haram relationship hai ek ladki k saath, woh ladki chali gayi hai ya nahi Jaanne k liye kiya tha pehle din mere khwab me green colour k jhad aaye saath me white book thi jisper mai kuch likh rahi thi aur last me meri bahen mujhe burqa pahenkar dara Rakhi thi, dusre din b pots me chote chote jhad the aur teesre din mere fiancee mai aur mere saare sasural wake ek saath the. Please mujhe reply kariye mera khwab ki tablet kya hai istekhara positive hai ya negative please.

A: Istikhaara in cheezo ke lia nahi kya jaata. Balke istikhaara ka maqsad talabul khair he. Jab koi kisi kaam ku karna chahe, to Shari'at ne sikhai ke us kaam se pehle wo istikhaara kare owr istikhara ke zarye wo Allah Ta'ala se dua kare ke agar ye kaam mere lia achcha he, to us ku poora kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels