Bid'aat se parhez karna

Q: Main nay khwaab main daikha ke main aik dost ke sath hun hum kahin ja rhy hain aur ye nai pata k kahan. Safar ke doran rastay main bohat say darbar aatay hain main un ko daikhta hun aik darbar say hum andar ja k hazri k bagair nikal jaty hain. Phir main daikhta hun ke oont ko qasai nay zibah kiya hy aur wo oont bol rha hy us ke gardan bhi nai aur khoon is ke gardan say nikal tha hy aur wo bol b raha hy.... main ye bhool gya hun k us nay kia bola... khawab main mujy pta tha k is nay kia bola.. phir khatam shareef b daikha.... phir main air dost wapsi k liye nikalny lagay to aik rasta bohat sunsaan tha main akela us rasty pay gya lekin rasta khatarnaak honay ke waja say wapis dost k pas aa gya.. aisa laga k hum kisi masjid main kharay hain.. phir aankh khul gai... subja 5 ka time tha... plzzzz is ke tabeer bata dain.

A: Tamaam kaam ku Sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare owr bid'aat se parhez kare. Issy tarah aysi jago par jaane se parhez kare jaha bid'aat hoti he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels