Khwaab me raakh ka baadal dekhna

Q: Mufti sahab me ne khawab mn dekha ke mountaneous jagga thi or mn road par jarha tha ke achaanak samne se door mujhe asa lga jse safaid badal arhe hn. Lekin jb wo badal nzdeeq ae to asl me raakh (ash) thi. Wo sabse phle mountains ke upr girna start hui or usne sare mountains ko dehk liya. Phir wo aage barthte hue zameen par girne lagi. Ye dekh kar sare log wahan se bhagne lag gae. Me ne bhi dekha ke mre parents bhi meri taraf bhag kar arhe hn. Hum sab bhi wapis bhagne lag gae. Phir meri aankh khul gai. Kindly mufti saheb is khuwab ki tabeer bata den. I am worried.

A: Ye fitne ki taraf ishaarah he. Fitne ke zamaane me aadmi ku apne Deen ki hifaazat karna chahia.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels