Caste system

Q: Mujhe apna aik confusion dour karna hai ke islam mein caste ki kya importance hai? Mein boht confused hun kyun kuch log kehtay hen ke sab muslim hi hen zaat wgera se frq nae prta lekn ye bhe Quran Majeed mein hy ke "hm ne tumhen firqon mein tfreek kr dia taa k tmhari pehchan ho skay" mjy plz bta den k fiqay or zaat mein kya frq hy?

A: Ye caste system Islam me se nahi he. Islam ne hukm dya ke sab ke huqooq poore kye jae aur sab ke saath acha bartaow aur sulook kye jae. Aayat Kareemah me jo kuch Allah Paak ne irshaad farmaaya ke hum ne tum ko alag firqow aur qabelow me banaaya wo to pehchaanne ke lye aur ek doosre se mumtaaz howne ke lye he. lihaaza Jo lowg ek hi khaandaan se he un ko ek qabeele me se shumaar kye jaate he. Wo lowg doosre qabeele ke lowg se mumtaaz howte he. Agar alag qabeele aur khaandaan na howte to dunyawi nizaam ke andar aur mu'aamalaat ke andar bari tashweesh aur dushwaari howti ti.  

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels